Sunday, February 21, 2010

Nuzar key taar pey majboor ruqs hulqa chushm

Nuzar key taar pey majboor ruqs hulqa chushm
Thakan se chor qadam patliwon se pochtay hain

Hizar ki manzil dushwar door kitni hai
Baroon parda wo dasat e hunar kab aye ga

Wo hath jis her ingisht fikar se paywast
Sadaye saaz k rishta raghe tamasha

Shanido deed ka kasa badast e manzar kab
Talab karain gay baha chashm seer log

Girain gay raham k sikay kab in hajabo per
Tamasha saaz ne ab tak ninhain uthaya nahi

Namu ke khak ney pher aeik baar jourr dea

Namu ke khak ney pher aeik baar jourr dea
Wo neem jism iraday ki sabaz tahni se

Phir aik baar khuli paysh beneo ki zameen
Wahi talb ki hawain wahi garez k phol

Madar e zaat k ander rukay hoye soraj
Qadam jame hoye gari k paydano per

Kali kali pay prayshan khayal ki titli
Gali gali main harasa payghambro ki sada

Namu ke khak ney pher aeik baar jourr dea
Wo neem jism iraday ki sabaz tahni se

Na paey ejz mey zangeer shouq dur badri

Na paey ejz mey zangeer shouq dur badri
Na unglion main sakat boriya uthane ki

Dar e sabat ki dasht e mamat hai dar e paysh
Faseel zaat se bahir qadam nahi uthata

Hai paysh o pus super andakhta grohe khaleef
Galeem posh e iraday asa badist sawal
Fasurda dard charaghan e sham bay tarteeb

Hareem husn ki na wa guzar aklimain
Bilad e umer jinhain paon keray nahi

Milay fargh kabhi jo khumar hasil se

Milay fargh kabhi jo khumar hasil se
Barhana ankh se wo nasha safar dekhain

K jis ki roh main andere baron halqa noor
Ajeeb lazat e lahasli main chaltay hain

Nashayb dard main utrun barhana pa to qadam
Is sikhwa pay parhain jis ki shakh shakh pay phol

Rokh e hawa ki atayet main rokh badaltay hain
Nashayb dard main utrun to qatal gah ki khak
Shikasta khol khili baktrain jalay hathayar

Kuch is traha se mujay gheer lain k main jese
Baqa ki jang ka hara howa sipahi hun

Mery budan per hey mazool durd ke khila

Mery budan per hey mazool durd ke khila
Meri musra pay gham e mustarid ka ashq nago

Qareeb a wo mustand tujay dikhao main
K jis k gird shab e hela jo k zard sipa
Muji se mere laho ka hisab mangti hai

Shiqan e shaam kaha habas e narawa main hai
Khilaf kis k hai Subah e anad k wada

Zara thahar k dame faysla sawal buhat
Jala watan se shab e naspas pochay gi

Masza pey khwab rehai ki bound bound shafaq

Masza pey khwab rehai ki bound bound shafaq
Khamida pasht pay tahrir zakham e mahromi

Khara howa hun pul e madua our sir se
Guzar rahay hain gham e mumkinat k pani

Sir e nigha wahi paysh binion k talism
Wahi talb ki hawain wahi garaiz k phol

Madar e zaat k andr rukay hoye sorj
Qadam jame hoye gari k paydan per

Kushada o bast fagha dar o geer aah panah
Gali gali main harasa payambro ki sada
Sadaqto k maqabil sadaqtain hun gi

Hawa key hath ke sub na tumam tehrerain

Hawa key hath ke sub na tumam tehrerain
Zamin k awleen maktoob badlo k liye

Sahar ki shakh pay pahli sada parinday ki
Kati zuba se patay pay dard ki shabnam

Darkhat laye wafa ki shahdtain kaya kaya
Chaman main ajre bahara mawakhze ki ghari

Dikha k kon c kompal tere dahan main khili
Bata k kon se bazo pay rasan k nishan

Saji hai kon c nook mazra pay abar ki rakh
Wo kese khat hain jinhain to dikha nahi sakti

Friday, February 19, 2010

Faqeeh sheher ney dekha ka rouey qatil

Faqeeh sheher ney dekha ka rouey qatil
Jhali zamin ka chahra shikasta shakh ka zakhm

Kinar e ab e tafan ka ghar jis k qareeb
Zuban garifa zan peer our sage tishna

Qadam e hawas k pare sarhade gawahi se
Barhana jism lotay mahmalo ki tanhai

Faqiha shahar ne dekha k chashm e qatil main
Wo zahar jis k tawsub se ghul rahay hain badan

Wo zahar jis ne kaf e gulfaroosh main sorakh
Darare shaqaf k andar lakeer sheshay main

Esey na khoul dur ey bey tu jahi ke tarha

Esey na khoul dur ey bey tu jahi ke tarha
Gara bachi hai yahi rabto k tagay main

Ye hijar zaat ka dariya hai darmiyan to usay
Main aik per k sahare paar ker lun ga

Na chun zamin se rahi ki bond bond shafaq
Dhanak k rang mere jism bay sapahar main hain

Zabane tishna na rakh aab e shoor per k meri
Khamida pasht pay rakha hai ab bhi mashkeza

Esay bhi khol dar bay tojahi ki taraha
Gara bachi hai yahi rabto k tagay hain

Ek aur shour e qiyamat k bund qabar khuley

Ek aur shour e qiyamat k bund qabar khuley
Ek our zarab ki tamsaal dar ayina

Tamam aks e mukarar tere raha ker de
Ek our zarab k bodo nabod ki taqseem

Isi faseel isi khashte ma sawa tak hai
Qadam ik our k us k ko k roshan hai

Wo hafat rang sitara jo asman main nahi
Hamre sath ghareeb ul dawal jis k liye

Dono ki shakh barhana shabo ki zulf tah
Qadam ek our keh wo marka hai jahan
Sadaqto k muqabil sadaqtain hun gi

Chuli b aey ager wad ey tualaq sey

Chuli b aey ager wad ey tualaq sey
Talism e khawab c wo chandni shab e wada

Mahal e tar safar shoq e justajo hai k ab
Mita gaye hain rawa zulmato k sale inhain

Wo thi kabhi shanasai ki guzar gahain
Chali bhi aye ager chandni shab e wada

Pohanch sakay gi dar e intzar tak kese
Nishan aik se diwar o dar pay kanda hain

Charagh aik se ankhain hain aik c jin main
Ghari hoi hain khayal e nijat ki maykhain

Chipak geya hey juli ungleoun ki pouroun sey

Chipak geya hey juli ungleoun ki pouroun sey
Bujay charagh main jese sharar tha khawabeda

Khud apni zaat ki tardid k shawahid bhi
Mere khilaf saf e ara mere khilaf gawa

Tabot e jurm kaya munsafo ko paysh karo
Nishane zakhm hai diwar e jism par lakin

Sawad e zakhm main barood ki lakeer nahi
Sapeda sahri main ghuli hoi zulmat

Badan ki loh per utri to satar satar hoi
Mere ghulaf e safe ara mere ghulaf e gawah

Budan sey utrey shikan dur shikan libas howa

Budan sey utrey shikan dur shikan libas howa
Laho ki lahar kisi sahal e yaqeen pay rukay

Hatay niga k shishay se aks ka parda
Tu wo speda khawab e azal nazar aye

Uthaye phirta hai jis ki shabhi nakhan e dard
Falak ki shakh se utrain wo tayrane abad
Paro main jin k afaq dar afaq dam e parwaz

Zameen e muntzir wo koh e bay irada
Dhanak k rang main dird e mamaat kerti hai

Ye safar ka asool hai shayed

Ye safar ka asool hai shayed
Sath chalna fazool hai shayed

Hum jisay zindgi samajtay hain
Tere qadmo ki dhoom hai shayed

Chubtay rahay hain har ghar kantay
Mere hatho main phol hai shayed

Wo jo banta hai roog sadion ka
Ik lamhay ki bhol hai shayed

Ay Hassan ishq k musafar ko
Har aziyat qabool hai shayed

Ye kab kaha hai k marne ki bat yar na kar

Ye kab kaha hai k marne ki bat yar na kar
Magar ye tazkara hijar bar bar na kar

Wo ik karm se sabhi kuch tujay bhula day ga
Tu is liye sitam is k shumar na kar

Nazar ko rok kisi arzo k sahil par
Ab is k hussan k dariya ko ayse paar na kar

Koi umeed na rakh ab kisi k anay ki
Jo waqat beet gaya us ka intzar na kar

Sokun bohat hai yahan doriyo k sehra main
Qareen a k hamain phir se be qarar na kar

Smaj ly is ko bhi hiqmat koi Khuda ki Hassan
Wo ja chuka hai to yun khud ko sogawr na kar

Zahan k khayalo main

Zahan k khayalo main
Roh k ujalo main

Zindgi ji jhilo main
Zaat ki fasilo main

Ratjago k daman main
Khawahisho k angan main

Dil k khush sahra main
Chashm e tar k dariya main

Dard k jahan main bhi
Ashaq be zaban main bhi

Our kuch nahi rahta
Teri yaad rahti hai

Talohe subha ka manzar kabi to aye ga

Talohe subha ka manzar kabi to aye ga
Wo shakas roshni lay ker kabi to aye ga

Hum is umeed pay maho safar hain mudat se
K rastay main ter ghar kabi to aye ga

Khumare bandgi urhay hoye koi jazba
Tumhari roh ko cho ker kabi to aye ga

Kabhi to sekhay ga wo khud supardgi ka hunar
Wo apni zaat se bahir kabhi to aye ga

Abhi to us se hazaro sawal kernain hain
Jo ja choka palat ker kabhi to aye ga

Main moj moj use roh main utarun ag
Wo khusbuo ka samandar kabhi to aye ga

Hamara naam bhi shamil tere jawab main hai
Sawal e qisa mahshar kabhi to aye ga

Hassan bikhrnay ko bay taab hai ye shisha dil
Kisi ki yaad ka pathar kabhi to aye ga

Talkhion ka zehar dil main bhar gaye bewafa sorj ki harjai kirn

Talkhion ka zehar dil main bhar gaye bewafa sorj ki harjai kirn
Mere angan main andhera ker gai bewafa sorj ki harjai kirn

Jinay marnay ka irad yaad tha us ko to her aik wada yaad tha
Han magar ruswaion se dar gai bewafa sorj ki harjai kirn

Khud se akasar pochta rahta hun main her ghari ye sochta rahta hun
Muj ko cho ker janay kis k ghar gai bay bewafa sorj ki harjai kirn

Dar badr ho ker jidar bhi jayen zindgi se hum kaha mil payen gay
Ay hassan apnay liye to mar gai bay bewafa sorj ki harjai kirn

Shawor e zaat se jab hamkalam hotay hain

Shawor e zaat se jab hamkalam hotay hain
Fana k boj ko hum anson se dhondtay hain

Khushi phol bus ik pal main sokh jayen gay
Chalo hayat main kuch talkhiyan parotay hain

Hamari nind hamesha ki nind hoti hai
Hum ahal e dard ko sirf aik baar sotay hain

Zara c dair main malk e adam k sanatay
Rdaye waqat k saray nishan dhotay hain

Wafa ki rah main chalta nahi hai sath koi
K ronay walay hamesha akelay rotay hain

Wo ja choka hai to kaya gham k sub ko jana hai
Hassan hum is liye daman ko kiyn bighotay hain

Thursday, February 18, 2010

Khan kaho ki chokhto ko log

Khan kaho ki chokhto ko log
Pahlay hatho se chotay rahte hain

Our phir dayr tak ye hath apne
Chompe hain bari aqedat se

Aik bhatke sawab ki khatir
Hath k ik ik kinare ko
Apni ankhon main dafan kertay hain

Yan masjid k farash per aksar
Ajzi se jhuka k payshani

Log apne thathrtay hatho ko
Is moqasas zamin pay rakhtay hain

Phir achanak wo apne honto se
Choom lete hain ungliyan sari

Aaj mene bhi apne hatho ko
Payar se baar baar choma hai

Rakh k in ko phir apni ankho per
Asman ko noor dekha hai

Kiyn k ye hath ajzi k sath
Tere paon ko cho k aye hain

Sakote marg k saye bich k lehje main

Sakote marg k saye bich k lehje main
Phir is ne hum ko pukara Khuda k lehje main

Main tuj ko mang raha hun bari aqeedat se
Magar wo dard nahi hai doya k lehje main

Mere shaor k awaz phir se jaag uthi
Tumhare naam ki kirnein saja k lehje main

Kahan se sekh liye ahal e dard k andaz?
Sadayen day rahay ho qaza k lehje main

Ghamo ki bheer main hum kho gaye hain our hassan
Koi bolata nahi dilruba k lehje main

Bhool gaya main sari batain

Bhool gaya main sari batain
Lakin itna yaad hai mujko

Sans k bandhn toot gaye thay
Jab tum hum se roth gaye thay

Manzil qareeb aye koi rasta milay

Manzil qareeb aye koi rasta milay
Dashte jono main sath agar ap ka milay

Hum ne to kher aap ko manga hai aap se
Logo jo milay ho bay namay Khuda milay

Is baar wasal e yaar bhi marnay k baad ho
Is baar hum ko jurm se pahlay saza milay

Kese smait patay wafao k boj ko
Sad shukar hum ko dost sabhi bay wafa milay

Khamoshion ki zad main hai alham ki urhan
Wo lab hilain to mere hunar ko sada milay

Wo hussan e bay misa agar sath ho Hassan
Phir chahay umer bhar na koi dosra milay

Khud se anjan ho gaye hain hum

Khud se anjan ho gaye hain hum
Teri pahchan ho gaye hain hum

Maan ke aap ko Khuda apna
Ahal e imaan ho gaye hain hum

Is ne mathay pay hont rakhay hain
Our bay jaan ho gaye hain hum

Dharkany gonjti hain sinay main
Itnay sansaan ho gaye hain hum

Ye koi kiyn kathan sa lagta hai
Jab se asan ho gaye hain hum

Aik mahfil ko yaad ker k Hassan
Baray wiran ho gaye hain hum

Kahi sakoon nahi har ghari sfar main hai

Kahi sakoon nahi har ghari sfar main hai
Tumharay baad meri zindgi safar main hai

Kiya hai waqat ne bayzar is qadar hum ko
K teri yaad bhi ab akhri safar main hai

Wo mere samany betha hai itminan k sath
Our aik qafila agahi safar main hai

Ghaniri zulf main simtay hain shaam k saye
Badan k pass kahin chandni safar main hai

Ye saray shayer adhoray hain na mokamal hain
Kahin na jao abhi sayeri safar main hai

Hassan hayaat ki manzil hai mout k thahrao
Agar hai zinda to her admi safar main hai

Jinay k hunar kaha se laon

Jinay k hunar kaha se laon
Wo kocha wo ghar kaha se laon

Jo teri nazar ko jhel paye
Main aysi nazar kaha se laon

Chehro k hajoom se chura ker
Main aik bashar kaha se laon

Sajday to talash ker laytay hain
Lakin tera ddar kaha se laon

Kuch lafz hain mere pass lakin
Lahjay main asar kaha se alon

Jo aap ki qurbato main guzray
Wo shaam o sehar kaha se laon

Ik roz mujay kaha ye dil ne
Main apni khabar kaha se laon

Wo sahil keray her ik manzil
Wo azm e safar kaha se laon

Sed shukar k Hassan nind a gai
Ik khawab magar kaha se laon

Dharkano main kahin tera chehra

Dharkano main kahin tera chehra
Ho gaya hai makin tera chehra

Jis jaga phol khil rahay hun
Dekh lain wahin tera chehra

Gardish e waqat k andhero main
Roshni ka amin tera chehra

Her wo tasveer na mokamal hai
Jis main shamil nahi tera chehra

Jese hotay hain abad o mabod
Wese meri jabin tera chehra

Is se agay bhi kuch sahifay hain
Harf e akhir nahi tera chehra

Mere iman ki dalil bana
Aks e aynulyaqeen tera chehra

Hassan is k udas chehray main
Kho gaya hai kahin tera chahra

Bay had o bay shumar ho jao

Bay had o bay shumar ho jao
Tum mera intzaar ho jao

Is main phalay hain raz hasti k
Saya e zulf yaar ho jao

Jis kirn se wajood roshan hai
Jao us per nisar ho jao

Koi tum ko na tor paye ga
Ishq ka aytbaar ho jao

Chahatay ho agar amer hona
Sayet e wasal e yaar ho jao

Tum ko khushion ki hai talash Hassan
Yun karo sogawar ho jao

Ankhon main kahin akas tumhara nahi koi

Ankhon main kahin akas tumhara nahi koi
Aanso hain bohat our sitara nahi koi

Modat hoi ik baar bhi dekha nahi tuj ko
Our tere siwa din bhi guzarta nahi koi

Kahtay hain sabhi log k payari hai ye duniya
Duniya main magar aap se payara nahi koi

Sanso ki talab hai tere anchal ki hawayain
Aa jao k jinay ka sahara nahi koi

Hai tang bohat is ki inayet ka daman
Lakin meri khawahish ka kinara nahi koi

Tang a ker Hassan toor diye dil k sabhi khawab
Is shahar main ab dard ka mara nahi koi

Akalay pan ki aziyto ko bhi shumar kerna sekh lo gay

Akalay pan ki aziyto ko bhi shumar kerna sekh lo gay
Karo gay ulfat to roz jina ya roz marna bhi sekh lo gay

Koi irada abhi takhiyal main phol ban k mahak raha hai
Jab asman ne mizaj badla to phir bikhra bhi sekh lo gay

Mohabato k ye saray rastay he sahal lagtay hain ibtda main
Tum aaj chal to rahay to lakin kahin thahrna bhi sekh lo gay

Kisi khalish se farayb kha ker tum apnay jiwan k rasto se
Nazar badalti hoi rutu ki taraha guzarna bhi sekh lo gay

Khumar e qurbat k khud framosh mosmo main yunhe achanak
Yun apni hasti ki jaan pahchan se mukarna bhi sekh lo gay

Ye wasal ka bay sabat mosam judaon ko sada day ga
Husan zara dair zinda rahnay k baad marna bhi sikh lo gay

Ab k mohabton main ye kaya mojzay hoye

Ab k mohabton main ye kaya mojzay hoye
Hum khod ko sochtay hain tumhain sochtay hoye

Ik baar tuj ko socha ser e shaam our phir
Ik our raat beet gaye jagtay hoye

Hum manzile adam k andero main kho gaye
Jab se alag tumhare mere rastay hoye

Jab agahi ki nabaz thami to pata chala
Kitnay baras guzar gaye tuj se milay hoye

Maine kaha k duniya main koi nahi mera
Is ne kaha k aaj se hum aap k hoye

Yun dil se kisi dard ka payma nahi kertay

Yun dil se kisi dard ka payma nahi kertay
Ab jaan pay bani bhi hai to darma nahi kertay

Hum ser e chak wafa hain our tar e dast hunar
Hum teer ko paywast e rag e jaan nahi kertay

Ye masla ab ahele mohabat ka hai apna
Martay hain to kuch ap pay ahsaan nahi kertay

Khat laye na laye tera hum khana bharo ka
Bus dekhtay rahtay hain paryshan nahi kertay

Aysa bhi to rakhtay nahi khanjar galo ko
Itna bhi to qatil ko pashyma nahi kertay

Kab shamain jalata hai shab e mah main koi
Tu aye to hum ghar main charagha nahi kertay

Logo ko guma tak nahi hota hai jano ka
Hum dil ki tarah chak e gireba nahi kertay

Hum taj k chalay atay hain yaroo dar e jana
Ghalib ki tarah minat e darban nahi kertay

Hum charagho ko to tareeki se larna hai faraz
Ghul hoye per sobo k asar ban jayen gay hum

Wednesday, February 17, 2010

Ye tabiyat hai to khud azar ban jaye gay hum

Ye tabiyat hai to khud azar ban jaye gay hum
Chara gar royen gay our gham khawar ban jaye gay hum

Her yaad ko yun zakham banatay nahi dil ka
Jo bina day k humain ay yaar ban jayen gay hum

Kaya khabar thi aye nigar e shayr tere ishq main
Dilbaran e shahr ki dildaar ban jayen gay hum

Sakhat jaan hain per hamaray istwari per na ja
Ayse totain gay tera iqrar ban jaye gay hum

Our kuch din bethnay do koye jana main hamain
Rafta rafta saya e diwar ban jayen gay hum

Is qadar asaan na ho gi her kisi se dosti
Ashnai main tera mayar ban jayen gay hum

Meer o ghalib kaya k ban paye nahi fayz o faraq
Zakham ye tha romi o atar ban jayen gay hum

Dekhtnay main shakh e gul lagtay lakin dekhna
Daste gulchain k liye talwar ban jayen gay hum

Ye jo sir gashta se phirtay hain kitabo walay

Ye jo sir gashta se phirtay hain kitabo walay
Is se mat mil k inhain roog hain khawabo walay

Ab mah o saal ki mohlat nahi milnay wali
Aa chukay ab to shabo roz azaabo walay

Ab to sub dashna o khanjar ki zoban boltay hain
Ab kaha log mohabat k nisabo walay

Jo dilo per he kabhi naqab zani kertay thay
Ab gharo tak chalay aye wo log naqabo walay

Zinda rahany ki tmana ho to ho jaye hain
Fakhtao k bhi kirdar aqabo walay

Na mery zakham khilay hain na tera rang e hina
Ab k mosam he nahi aye gulabo walay

Yun to lagta hai k qismat k sikandar hai Faraz
JO sharaf hum ko mila kocha e jana se Faraz

Wo jo a jatay the ankhon main sitaray layker

Wo jo a jatay the ankhon main sitaray layker
Janay ki dais gaye khawab hamaray layker

Chao main bethney walay he to sub se pahlay
Pairh girta hai to a jatay hain aaray layker

WO jo asoda hasil hain inhain kaya maloom
Ab k mooj i to paltay gi kinaray layker

Aysa lagta hai ye her mosam e hijra main bahar
Hont rakh deti hai shakho pay tumharay layker

Shahar walo kaha yaad hai wo khawab farosh
Phirta rahta tha ko galiyun main ghubaray layker

Jis jaga jayen bana letay hain apni jaga
Ab jo zinda hain to kuch sans udharay layker

Tuesday, February 16, 2010

Wahshtain barhti gayi hijar k azar k sath

Wahshtain barhti gayi hijar k azar k sath
Ab to hum baat bhi kartay nahi gham khawar k sath

Hum ne ik umer basar ki hai gham e yaar k sath
Meer do din na jiye hijar k azar k sath

Ab to hum ghar se nikaltay hain to rakh dete hain
Taaq par izat e sadat bhi dastar k sath

Is qadar khof hai shahar ki galiyo main k loog
Chaap suntay hain to lag jatay hain diwar k sath

Aik to khawab liye phirtay ho galiyon galiyon
Is pay taqrar bhi kartay ho kharidar k sath

Shahar k shahar he nasih ho to kaya kijiye ga
Warna hum rand to phir jatay hain do chaar k sath

Hum ko is shahar main tameer ka soda hai jaha
Log momar ko chun dete hain diwar k sath

Magar andaz hain sub khana kharabo walay
Soye motaqtal bhi gaye hain isi pandar k sath

Tere hotay hoye mahfil main jalaty hain charagh

Tere hotay hoye mahfil main jalaty hain charagh
Log kaya sada hain soraj ko dikhatay hain charagh

Apni mahroomi k ahasas se sharminda hain
Khud nahi rakhaty to ouro k bujatay hain charagh

Bastiyan door hoi jati hain rafta rafta
Dambadam ankhon se chuptay chalay jatay hain charagh

Kaya khabar un ko k daman main bharak uthtay hain
Jo zamany ki hawao se bajatay hain charagh

Go saya bakhat hain hum log pay roshan hai zameer
Khud andheroo main hain duniya ko dikhatay hain chargh

Bastiyan chand sitaro ki basanay walay
Kara e arz pay bujay jatay hain charagh

Aysay bay dard hoye hum bhi k ab ghulshan per
Barq girti hai to zindan pay jalatay hain charagh

Aysi tarikian ankhon main basi hain k Faraz
Raat to raat hai hum din ko jalatay hain chargh

Tera gham apni jaga duniya k gham apni jaga

Tera gham apni jaga duniya k gham apni jaga
Phir bhi apnay ahad per qayam apni jaga

Kaya karain ye dil kisi ki nasaha sunta nahi
Aap ne jo kuch kaha ay muhtram apni jaga

Hum mohad hain boto pay pojnay walay nahi
Per Khuda lagti to sanam wo apni jaga

Yaar bay parwa kabhi hum ne koi shiqwa kiya
Haan magar is naas paas ankhon ka nam apni jaga

Mahfil e jana ho maqtatal ho k maykhana ho
Naqad e jaa sirf hawa kalfat e hasti main Faraz

Monday, February 15, 2010

Tishngi ankhon main our dariya khayalo main rahay

Tishngi ankhon main our dariya khayalo main rahay
Hum nawa ghar khush rahay jese bhi halo main rahay

Is qadaq duniya k dukh ay khubsorat zindgi
Jis traha titli koi makri k jaaloo main rahay

Dekhna ay rah noor de shooq koye e yaar tak
Kuch na kuch rang e hina pao k chalo main rahay

Hum se kiyn mangay hisaab jaan koi jab umer bhar
Kon hain kaya hain kaha hain is sawalo main rahay

Badzani aysi k ghayro ki wafa bhi khot thi
Soye zan aysa k hum apno ki chalo main rahay

Aik duniya ko meri diwangi khush a gai
Yaar maktab ki kitabo k hawalay rahay

Ik mudat se milay nahi hain yaar mera our main
Phir bhi hum ahad e mohabat ki milalo main rahay

Suna hai log usay ankh bhar k dekhtay hain

Suna hai log usay ankh bhar k dekhtay hain
So us k shahar main kuch din thahr k dekhtay hain

Suna hai rabt hai is ko kharab halo se
So apnay ap ko barbad ker k dekhtay hain

Suna hai dard ki gahak hai chashm e naz us ki
So hum bhi us ki gali se ghuzr ke dekhtay hain

Suna hai us ko bhi shyro shayeri ka shaghaf
So hum bhi mujzay apnay hunar k dekhtay hain

Suna hai bolay to bato se phol jhartay hain
Ye baat hai to chalo baat ker k dekhtay hain

Suna hai raat usay chand takta rahta hai
Sitaray baam e falak se utar ker dekhtay hain

Suna hai din ko isay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno guzar ker dekhtay hain

Suna hai hashar main is ki ghazal c ankhain
Suna hai is ko hirno dashat bhar k dekhtay hain

Suna hain raat se barh ke hain kaklain is ki
Suna hai shaam ko saye guzar k dekhtay hain

Saya e chasham to dekhay hain per na aysay bhi
K is ko surma faroosh aah bhar k dekhtay hain

Suna hai is k labo se ghulab jaltay hain
So hum bahar pay ilzam thar k dekhtay hain

Suna hai ayena tamsaal hai jabeen us ki
Jo sada dil hai usay ban sanwar k dekhtay hain

Suna hai jab se hamayl hain us ki gardan main
Mizaj our he laal o gahar k dekhtay hain

So saro qad hai magar bay gul e murad nahi
K is shajar pay shagupay samar k dekhtay hain

Nazar uthay to ye samjo k deen o dil to gaye
So rahwan e tamana bhi dar k dekhtay hain

Suna hai us ki shabasta se mutsal hai bahshat
Makeen udar k bhi jalway idar k dekhtay hain

Rukay to dardishain is k tawaf kerti hain
Chalay to is ko zamanay thahar k dekhtay hain

Kisay naseeb k bay payrhan usay dekhay
Kabhi kabhi dar o diwar ghar k dekhtay hain

Kahaniya he sahi sab mubalghay he sahi
Agar wo khawab hai tabeer ker k dekhtay hain

Ab is shahar main thahrain k kooch ker jayen
Faraz aao sitaray safar k dekhtay hain

Shayar apna he jis ka bahana sazi tha

Shayar apna he jis ka bahana sazi tha
Wo mere jhot pay khush tha na such pay razi tha

Tamam umer usi k rahay ye kaya kam hai
Bala se ishq haqiqi na tha majazi tha

Ye do dilo ki qurbat bari gawahi hai
So kaya hoya koi shahad na koi qazi tha

Na tanz ker k kai baar keh choka tuj se
Wo meri pahli mohabat to mera mazi tha

Na dost yar na nasih na nama bar na raqeeb
Bila kashan e mohabat se kon razi tha

Ye ghul shuda c jo shamain dikhai deti hain
Hunar in ankhon k agay sitara sazi tha

Ado k samne hathayar dalnay wala
Koi Faraz sa kafir nahi tha ghazi tha

Shahe e mohabat hijar ka mosam ahade wafa our main

Shahe e mohabat hijar ka mosam ahade wafa our main
To tu is basti se khush khush chala gaya our main?

Tu jo na ho to jese sub ko chup lag jati hai
Apas main kaya batain kertay raat diya our main

Sere chaman adat thi pahalay ab majbori hai
Teri talash main chal partay haim baad e saba our main

Jis ko dekho teri hawa main pagal phirta hai
Warna hum mushrob to nahi thay khalaq e Khuda our main

Aik to wo hamraz mera hai phir tera madah
Bus tera he zikar kiya kartay hain zaya our main

Aik zamanay bad faraz ye shyer kahay main ne
Ishq main duniya ghanwai hai na jaan di hai Faraz

Sunday, February 14, 2010

Kiyn tabiyat kahin thahrti nahi

Kiyn tabiyat kahin thahrti nahi
Dosti tu udas keti nahi

Hum hamesha k seer chasham sahi
Tuj ko dekhain to ankh barti nahi

Shabe hijra bhi roz e bud ki taraha
Kat tu jati hai per guzarti nahi

Shyeer bhi ayto se kaya kum hain
Hum ye mana wahi utarti nahi

Is ki rahmat ka kaya hisab karain
Bus hum he se hisaab kerti nahi

Ye mohabat hai sun! zamanay sun!
Zindgi is traha guzarti nahi

Phir tere na anay ki khabar shaam main i

Phir tere na anay ki khabar shaam main i
Zahar ab ki talkhi si mere jaam main i

Ay kash pora na ho koi bhi mera arman
Ye our tamna dil e nakam main ki i

Kaya kaya na ghazal us ki judai main kahi hai
Barbadi e jaan bhi to kisi kaam main i

Kab main gham e doran mujay fatraak main rakha
Akhir ko to doniya bhi mere doyam main i

Kal shaam k tha shekh e harm sahib e mahfil
Sehba ki pari jama e ahram main i

Her chand Faraz aik faqeer sar e rah hun
Per mumlikat e harf mere naam main i

Nahi k nama baro ko talash kertay hain

Nahi k nama baro ko talash kertay hain
Hum apnay bay khabro ko talash kertay hain

Mohabto ka bhi mosam hai jab guzar jaye
Sub apnay apnay gharo ko talash kertay hain

Suna hai kal jinhain dastar e iftikhar mili
Wo aaj apnay saro ko talash kertay hain

Ye ishq kaya hai k izhar e arzo k liye
Hareef noha garo ko talash kertay hain

Ye hum jo dhondhtay phirtay hain qatil gaho ko
Darasal chah garo ko talash kertay hain

Raha hoye pay ajab haal hai aseero ka
K ab wo apnay paroo ko talash kertay hain

Faraz waad k qabil hai justajo un ki
Jo hum se dar badaro ko talash kertay hain

Na tera qurb hai na bada hai kaya kiya jaye

Na tera qurb hai na bada hai kaya kiya jaye
Phir aj dukh bhi zayada hai kaya kiya jaye

Hamain arze tamana ka dhab nahi ata
Mizaj e yaar bhi sada hai kaya kiya jaye

Kuch apnay dost bhi turkash badosh phirtay hain
Kuch apna dil bhi kushada hai kaya kiya jaye

Wo mahrban hai magar dil ko hirs bhi kam ho
Talab karam se zayada hai kaya kiya jaye

Na us se tarq e taluq ki baat ker paye
Na hamdami ka irada hai kaya kiya jaye

Salooq yaar se dil dobnay laga hai Faraz
Magar ye mahfil e ada hai kaya kiya jaye

Na shabo roz he badlatay hain na haal acha hai

Na shabo roz he badlatay hain na haal acha hai
Kis barhman ne kaha tha k ye saal acha hai

Hum k dono k gariftaar rahay jantay hain
Dame duniya se kahin zulf ka jaal acha hai

Maine pocha tha k akhir ye taghaful kab tak?
Muskuratay hoye bolay k sawal acha hai

Dil na many bhi to aysa hai k gahay gahay
Yaar e bay faiz se halka sa malal acha hai

Laztain qurb o juda ki hain apni apni
Mustaqil hijar he acha hai na widal acha hai

Rahwan e rah ulfat ka muqadar maloom
In ka aghaz he acha na maal acha hai

Dosti apni jaga per ya haqeeqat hai Faraz
Teri ghazlo se kahin tera ghazaal acha hai

Na manzilo ko na hum rah guzar ko dekhtay hain

Na manzilo ko na hum rah guzar ko dekhtay hain
Ajab safar hai k bus hum safar ko dekhtay hain

Na poch jab wo guzrta hai bay nayazi se
To kis malal se hum nah bar ko dekhtay hain

Tere jamal se hat ker bhi aik duniya hai
Ye seer chasham magar kab idar ko dekhtay hain

Ajab fasoon dedar ka asar hai k hum
Is ki ankh se apnay hunar ko dekhtay hain

Koh makan koi zinda samaj k rehta hai
Talism khana diwar o dar ko dekhtay hain

Faraz dar e khor e sajda her astana nahi
Hum apnay dil ko hawalay se der ko dekhtay hain

Wo bay khabri meri ankhon ka sabar bhi dekhain
Jo tanz se mere dama ne tar ko dekhtay hain

Ye jaan kani ki ghari kaya thahar gai hai k hum
Kabhi qaza ko kabhi chara ghar ko dekhtay hain

Hamari dar badari ka ya majara hai k hum
Musafiro ki traha apnay ghar ko dekhtay hain

Faraz hum se sukhan e dost faal k liye bhi
Kalaam e ghalab ashfata ser ko dekhtay hain

Saturday, February 13, 2010

Muj se pahaly tujay jis shakhas ne chaha us ne

Muj se pahaly tujay jis shakhas ne chaha us ne
Shaye ab bhi tera gham dil se laga rakha hai

Aik bay naam c umeed pay ab bhi shayed
Apnay khawabo ke jaziro ko saja rakha hai

Main ne mana k wo baygana payman e wafa
Khi chuka hai jo kisi our ki ranai main

Shayed k ab lout k aya na teri mahfil main
Our koi dukh na rolaye tujay tanhai main

Main ne mana k shab o rooz k hangamo main
Waqat her gham ko bhula deta hai rafta rafta

Chahain umeed k shamain hun k yaado k charagh
Mustqil boad bulla deta hai rafta rafta

Phir bhi mazi ka khayal ata hai gahay gahay
Mudtain dard k loo kam tu nahi ker sakti

Zakham bhar jaye magar dagh to rah jata hai
Doriyo se kabhi yaadain to nahi mar sakti

Ye bhi mumkin hai ik din wo pashyma ho ker
Tere pass aye zamanay se kinara ker lay

To k masoom bhi hai zood e faramosh bhi hai
Is ki payma shikni ko bhi gawara ker lay

Our main jis ne tujay apna maseha samja
Aik zakham our bhi pahlay ki tarah seh jao ga

Jis se pahlay bhi kai ahad e wafa totay hain
Usi do rahay pay chup chaap khara rah jao ga

Musafrat main bhi tasveer ghar k dekhtay hain

Musafrat main bhi tasveer ghar k dekhtay hain
Koi bhi khawab ho tabeer ghar k dekhtay hain
Watan se door bhi azadiyan naseeb kese
Qadam kani bhi hun zanjeer ghar ki dekhtay hain
Agarcha jism ki diwar girnay wali hai
Ye sada loh tameer ghar k dekhtay hain
Koi to yaad ana gher ghar k dekhtay hain
Hum ayse khana bar andaz Kunj ghurbat main
Jo ghar nahi to tasveer ghar k dekhtay hain
Banaye dil se hain khawab ga zalzala per
So apni ankhon se taqdeer ghar k dekhtay hain
Faraz jab koi nama watan se ata hai
To harf harf main tasveer ghar k dekhtay hain

Manzilain aik c awargiyan aik c hain

Manzilain aik c awargiyan aik c hain
Mukhtlif ho k bhi zindgiyan aik c hain

Koi maqasid ho k nasih koi ishq ki ado
Sub ki is shokh se wabastigiyan aik c hain

Dashte majno na sahi tysha e farhad sahi
Safar e ishq main wamandigiyan aik c hain

Sofi o rind k masalk main ho lakh tazad
Mastiyan aik c hain warfatgiyan aik c hain

Wasal ho hijar ho qurbat ho k dori ho Faraz
Sari kayfiytain sub tishnigiyan sik c hain

Malol ker hamain itna malol ker jana

Malol ker hamain itna malol ker jana
K hum na yaad karain tuj ko bhol ker jana

Hain masal e nama bay naam dast e qasid main
So hum se dar badro ko wasool ker jana

Phir a gaye tere kochay main khush niga tere
Gham e jahan ki salebo pay jhoom ker jana

Kabhi to dast e hani se serkhai lab se
Hamre zakhme tamna phol ker jana

Ye ahle dard teri mumliqat main rahtay hain
So akhtiyar koi to asool ker jana

Faraz tuj ko Khuda wand manta hai usay
Diyare ishq main apna rasool ker jana

Main mar mita to wo amja ye intha thi meri

Main mar mita to wo amja ye intha thi meri
Isay khabar he na thi khak e kimiya thi meri

Main chup hoya to wo samja k baat khatam hoi
Phir us k baad to awar jabaja thi meri

Jo tana zan tha meri poshashe deda per
Isi k dosh pay rakhi hoi qaba thi meri

Main us ko yaar karo tu yaad ata nahi
Main us ko bhol gaya hun yahi saza thi meri

Shikast day gaya apna gharor he us ko
Wagarna is k maqabil basaat kaya thi meri

Kahin damagh kahin dil kahin badan he badan
Her ik se dosti yari juda juda thi meri

Koi bhi koye mohabat se phir nahi guzra
To shahar e ishq main kaya akhri sada thi meri?

Her ik shayr na tha dare khod qaseeda dost
Our is sat e taba rawan khawab ashna thi meri

Main us ko dekhta rahta tha herto main faraz
Ye zindgi se tayrof ki ibtada thi meri

Lagta hai k ab chahtain asaan hain zayada

Lagta hai k ab chahtain asaan hain zayada
Ashaq hain kam chaak garayban hain zayada

Ik adh sahbe dil farosh bhi hai farokash
Ab kocha e dildar main darban hain zayada

Mudat se koi janab e maqtal nahi ayad
Qatil bhi tawaqo se pashay man hain zayada

Jis taaj ko dekho wahi kashkol numa hai
Ab k to faqeero se bhi sultan he zayada

Her aik ko dawa hai yahan chara giri ka
Ab dil k ujhar jany k amkan hain zayada

Kaya kaya na ghazal is k judai main kahi
Hum per shab e hijra tere ahsan hain zayada

Logo ne to jo zakham diye they so diye they
Kuch tere karm hum pay meri jan hain zayada

Mashata e duniya se kahay kon Faraz ab
Hum yaar ki zulfon se pareshan hain zayada

Kuch hum us se jaan ker na khilay

Kuch hum us se jaan ker na khilay
Hum pay sab bhed thay wagarna khulay

Je main kaya kaya thi dasrat e parwaz
Jab rahi mili to per na khulay

Agay khawahish thi khun ronay ki
Ab ye mushkil k chashm e tar na khulay

Ho to aysi ho parda dari zakhm
Hall dil ka bhi ankh per na khulay

Sakhat tanha thay is ki bazam main hum
Range mahfil ko dekh ker na khulay

Kitny kosh ho Faraz aseeri per
Our ye band e gham ager na khulay?

Kisi se dil ki haqayet kabhi kaha nahi ki

Kisi se dil ki haqayet kabhi kaha nahi ki
Wagarna zindgi hum ne bhi kaya se kaya nahi ki

Her ik se kon muhabat nibha sakta hai
So hum ne dosti yari to ki wafa nahi ki

Shakastgi main bhi pandare dil salamat hai
Kaka is k dar pay to pahnchay magar sada nahi ki


Shikayet us ki nahi hai k us ne zulm kiya
Gila tu ye hai k zalim ne intha nahi ki

Ajeeb aag hai chahat ki aag bhi faraz
Kahin jala nahi ki our kahin bujha nahi ki

Kartay bhi kaya jana parha phir se isi qatil k

Kartay bhi kaya jana parha phir se isi qatil k
Hum barha ho aye hain chahe garane dil k pass

Kuch bay gahar ki sipiyan kuch bay musafir kashtiyan
Dariya ne rukh badla to kaya bari raha sahil k pass

Jin jin ko tha zakham e wafa pandar e jan dawa e dil
Mahfil saji to jama thay sab sahbe mahfil k pass

Is ishq e tarq main nasih kaha se a gaya
Ye ikhtiyar ankhon hai ye fesla hai dil k pass

Kaya khazar our kaya rahbar heran hain is baat per
Kiyn khush nasheen hai qafila ik randa manzil k pass

Kal pursash ahwal jo ki yaar ne meray

Kal pursash ahwal jo ki yaar ne meray
Kis rashk se dekha Mujay ghum khawar ne mere

Bus ik tera naam chupaney ki gharaz se
Kis kis ko pukara dil e bemaar ne mere

Yan garm e bazar thi yan khuf e zuban tha
Phir bech diya muj ko kharidar ne mere

Wirani main barh ker they bayaban se to phir bhi kiyn
Sharminda kiya hai dar o diwar ne mere

Jab shayeri parda hai faraz apny jano ka
Phir kiyn mujay ruswa kiya ishayar ne mere

Kal nala e qamri ki sada tak nahi i

Kal nala e qamri ki sada tak nahi i
Kaya matam e gul tha k saba tak nahi i

Adab e kharabat ka kaya zikar yahan to
Rando ko bahkne ki ada tak nahi ati

Tuj ayse masiha k taghaful ka gila kaya
Hum jeso ki parsash ko qazqa tak nahi i

Chaltay rahay begh sarfa charagho ki traha hum
To kaya tere kochat tak ke hawa tak nahi i

IS der pay ye alam howa dil ka k labo per
Kaya herfe tamna ki dowa tak nahi i

Doye wafa per talb e dad e wafa ki
Ay kishta e gham tuj ko haya tak nahi i

Jo kuch howa faraz apne taye yaar k agay
Is se to koi baat bna tak nahi i

Jis k liye hain jaan balab is ko nahi malal bhi

Jis k liye hain jaan balab is ko nahi malal bhi
Ay dil e na saboor ab adat e hijar daal bhi

Daman e yaar tak kahan ishq zabo ki dastras
Hashmat e husn dekh ker bhol gaya sawal bhi

Kab se hain log ser e bakaf rah main misal ahwan
Ab to mere shikar to tero kaman sambhaal bhi

Jis k baghai rozo shab sakhat bhi thay mahal bhi
Is k baghayr kat gaye kis traha mah o saal bhi

Anjam o mahro mahatab saro sanobar o ghulab
Kis se tujay misal dun ho to koi misaal bhi

Is k kharam naaz se aysi qayamtain uthi
Ab k to maat kha gayi charkhe kahan ki chal bhi

Hum ko to umer kha gai kheer hamain gila nahi
Dekh to kaya se kaya hoye yaar k khado khaal bhi

Ab k faraz wo hoya jis ka na tha guman tak
Pahli c dosti to kaya khatam hai bool chaal bhi

Ye hum jo apnay he dil ki madham sada se agay nikal gaye

Ye hum jo apnay he dil ki madham sada se agay nikal gaye
Smaytain kho gayi hai yan hawa se agay nikal gaye hain

Jhali hoi sard ungliyon se zim kaday ker diye hain roshan
Khuda k kuch ba kamaal banday Khuda se agay nikal gaye hain

Hum ab kisi ki azeem chahat k surkh rastay pay gamzan hain
Maqam e ajaro sawab guZra saza se agay nikal gaye hain

Mere liye ab ye tere sajday ye tere ansu fazool shay hain
Meri tabahi k silsalay ab doya se agay nikal gaye hain

Friday, February 12, 2010

Tere shahar main ye kamal hona tha ho gaya

Tere shahar main ye kamal hona tha ho gaya
Mera dil ghamo se nidhal hona tha ho gaya

Kisi maslahat ko arooj milna tha mil chuka
Koi ishq roba zawal hona tha ho gaya

Koi dard milna tha mil chuka hai jo dair se
Koi chehra khawab o khayal hona tha ho gaya

Tere wasal main jo lamhay kat nay thay kat gaye
Wo jo gham se rishta bahal hona tha ho gaya

Mujay chor ker chalay janay walay k hijar main
Mera lamha lamha mahal hona tha ho gaya

Tu jawab day k na day ab ay meray khu baro
Tere roh baro jo sawal hona tha ho gaya

Cholo Ahamad ab naye mosmo se milain jhulain
Gai rut ka jitna malal hona tha ho gaya

Sapno ki barish main bigti larki

Sapno ki barish main bigti larki
tum ko kaya maloom
K khawab se bichray log yahan kese jitay hain
Teri jheel c ghahri ankhon main tu gori
Nind k pariyan roz nahanay aa jati hain
Tera dil bhahla jati hain
Per hum tanha
Dard ki zard sahleeb pay
Kab se latak rahay hain
Jinay ki khawahish main
Mout ki wadi main hum bhatk rahay hain
Pagli
Raat ki daldal main chup chaap utar jatay hain
Apni aag main jhal ker Aap bikhar jatay hain
Jinay se pahlay he
Aksar mar jatay hain

Munjmand khun main halchal ker day

Munjmand khun main halchal ker day
Muj ko chu our mukamal ker day

Kitni payasi hain ye banjar ankhain
Abar zaday inhain jhal thal ker day

Maine wo dard chupa rakha hai
Jo tar husn ko pagal ker day

Saray insaan he wahshi hain tu phir
Is bharay shahar ko jangal ker day

Ay jhulastay hoye jismo k Khuda
Jhalti dopahar pay badal ker day

Khushbu i hai to lotay na kabhi
Ab hawa ko bhi koi shal ker day

Yan mujay wasal ata ker malik
Yan mera hijar mukamal ker day

Mujay khud se ye shiqwa hai

Mujay khud se ye shiqwa hai
Tumharay pass rah ker bhi
Main tum se door rahta hun
Tumharay wasal ki barish ne jhal thal ker diya muj ko
Magar main to
Khud apnay hijar k zakhmo se ab bhi chor rahta hun
Meri jaan main tumhara hun!
Tu phir ye kaya qayamat hai
Ye hum se faslay kese hain
Ye mohabat kesi hai?
Ay mere dost apny haq ko ayse chortay kiyn ho?
Dilo ko tortay kiyn ho?
Ay mere chara gar
Tum se bus itni c guzarish hai
Mujay muj se chura lo tum
Main apnay aap ko
Shayed kisi din maar dalo ga
Mujay muj se bacha lo tum
Mujay khud main chupa lo tum

Mosam k aytbaar zayada nahi kiya

Mosam k aytbaar zayada nahi kiya
So hum ne us se payar zayada nahi kiya

Kuch to Fareed hum ne palatnay main dayr ki
Kuch us ne intzar zayada nahi kiya

Khawab se khak se our khawab se agay kaya hai

Khawab se khak se our khawab se agay kaya hai
Janay is alm e asbab se agay kaya hai

Dil k pechay to koi dil he kayi ankhain hain
Per meri chashm e falak taab se agay kaya hai

Pas her chasham hai jaltay hoye mazi ka dowan
Per idar khunda e ahbab se agay kaya hai

Aik dahleez pay jhuk jati hai bujal palkain
Dil ko maloom hai is baap se agay kaya hai

Yakh zamanay kabhi piglain tu zamana dekhain
Yani is manzil e barfaab se agay kaya hai

Kash hum jantay is paar k manzar ka miraj
Kash hum dekhtay is khawab se agay kaya hai

Jis ne lalkara hai phaphray hoye pani ko Fareed
Is ko maloom hai gardaab se agay kaya hai

Thursday, February 11, 2010

Wo tere mere zawal k tha

Wo tere mere zawal k tha
Wo lamha ketnay kamal ka tha

Samay ki jan nabaz ruk gai thi
Wo aik pal kitnay saal ka tha?

Bus aik lamhay main kat gaya hai
Wo rabt jo mah o saal ka tha

Jo taaq e zinda main buj gaya hai
Wo ik diya bhi kamal ka tha

Jism main roh bhi shamil ker day

Jism main roh bhi shamil ker day
Main k pather hun mujhay dil ker day

Muj ko wo dard ata ker malik
Jo meri roh ko ghayel ker day

Jis ko asani smajhtay hain ye log
Zeesat ko our na mushkil ker day

Main tujay chor k ja sakta hun
Ho sakay to mujay ghafik ker day

Yun he taqmeel ho shayed apni
Muj main ab khud ko bhi shamil ker day

Jab apnay aap se kat ker jiya hun jan e Fareed

Jab apnay aap se kat ker jiya hun jan e Fareed
Tu phir main tuj se taluq bahal kaya kerta

Jesay badan ki nahi payar ki zarorat thi
Wo badnaseeb tere khadokhal kaya kerta?

Ye udaas ankhain meri

Ye udaas ankhain meri
Kurb e tanhai main jalti hoi Is zaat k darwazay per
Rastahm dheti rahti hain kisi badal ka
Aysa badal
Jo mere jism k sehra ko bhi sahil ker day
Hath hathon pay rakhay
Roh ko jhal thal ker day
Ye udaas ankhain meri
Zulm ki dhund main lipti hoi is raat k darwazay per
Rasta dekhti rahti hain kisi soraj ka
Aysa soraj
Jo muhabat k her aik naksh ko roshan ker day
Khoof ki lahar se jhamtay hoye logo main hararat bhar day
Bhagtay dhortay is waqat k hangamain main
Wo jo ik lamha amer hai
Wo thahrta he nahi
Bay yaqeeni ka ya mahool bikhrta he nahi
Mera soraj
Meray angan main utarta he nahi

Hawa k dosh per agay se agay

Hawa k dosh per agay se agay
Hai khushbu ka safar agay ae agay

Agarcha gir gaya zakhmi parinda
Urhay jatay hain per agay se agay

Kisi ne payar ki kherat kab di
Dikhay sub ne dar agay se agay

Qitarain roshni ki barh rahi hain
Jhalay jatay hain ghar agay se agay

Kahin pichay na rah jaon main tanha
Liye jata hai dar agay se agay

Haseen labu ki mahak main kharam howa

Haseen labu ki mahak main kharam howa
Guzar gaya koi lamha kalam kerta howa

Main shahar e yaad ki galiyun main ja nikla
Doyain leta hoya our salaam kerta hoya

Raya daya kisi dashtay bay rada ki tarf
Mera sakhi gani chaon ko aam kerta hoya

Wo ja raha hai koi shahar e yaar shahar e jamaal
Hum ayse sadaho lo ko ghulaam kerta hoya

Bikhar raha smander se soraj is taraf
Nigar e aab ko hum rangay shaam kerta hoya

Phir aab ada main shola abhar raha hai Fareed
Meray galaas ko rangeen jaam kerta hoya

Gham zamana se kah do k intzaar karay

Gham zamana se kah do k intzaar karay
Kisi ki zulf k saye main so gaya hun

Talash ker nahi sakta mujay koi gham bhi
Tumharay lims ki khushbu main khu gaya hun

Na tere wasal ki khawahshain na tere hijar ka gham
Mere khayal hai pathar ka ho gaya hun main

Chara e dard ki khawhish nahi krnay dun ga

Chara e dard ki khawhish nahi krnay dun ga
Khud ko zakhmo ki numayesh nahi krnay dun ga

Dil ko sahara main banao ga alag tere mahal
Tuj ko ankhon main rayhaish nahi keray dun ga

Apni chahat main sharakat mujay manzoor nahi
Ab tujay bhi teri khawahish nahi kernay dun ga

Khud bikhar jaon ik din kisi khushbu ki taraha
Apnay yaroo ko ye sazish nahi karnay dun ga

Torh dun ga kisi rooz ye mahwar main Fareed
Khun ko khak main gardish nahi krnay dun ga

Almiya

Almiya
Baray banglay main
Taza phool dene
Jo malan ai thi
Murjha gai hai

Tay karo ga main andera ye akela kese

Tay karo ga main andera ye akela kese
Mere hamrah chalay ga mera saya kese

Meri ankhon ki chaka chund bata sakti hai
Jis ko dekha he na jaye usay dekha kese

Chandni us se lipat jaye hawaine chayrain
Koi rah sakta hai duniya main achota kese

Main us waqat se darta hun k wo poch na lay
Ye agar zabat ka ansu hai tu tapka kese

Yaad ke kaser hain umeed ki qandalain hain
Main ne abad kiye dard k sehra kese

Is liye sirf Khuda se hai Takhatub nera mera
Mere jazbaat ko samjhay ga farishta kese

Zahan main nit naye butt dhaal k ye dekhta hun
Butt kaday wo bana leta hai kaba kese

Us ki qudrat ne mera rasta ruka hoga
Poch muj se k qayat barpa hoi kese

Gar smander se he dariyaon ka rizq ata hai
Is k senay main utar jatay hain dariya kese

Tot ti raat ne soraj se ye sargoshi ki
Main na hoti to tera noor barasta kese

Wednesday, February 10, 2010

Main jab shayr kehta hun

Main jab shayr kehta hun
Diwar e frda pay mera qalam
Khun k rang main
Phol se lafz likhta hai
Lakin koi ye zubaan parhnay wala nahi!

Kitna shafaf hai badan tera

Kitna shafaf hai badan tera
Kal jo to meray pass se guzri
Maine dekha k tere chahray per
Jheel k sa sakun chaya hai
Our tere dil pay jab nazar dhali
Main ne wo hashar sa bapa dekha
Jis traha zalzala sa aya hai

Dawar e hashar! Mujay teri qasam

Dawar e hashar! Mujay teri qasam
Umer bhar main ne ibadat ki hai

Tu mera naam e aamaal to dekh
Main ne insan se muhabat ki hai

Buhat shadid tashind main mubtila logo

Buhat shadid tashind main mubtila logo
Yahin qareeb muhabt ka aik qariya hai
Yahan duen ne manazar chupa rakhay hain magar
Ufaq baaq ka waha se dikhai deta hai
Yahan to apni sada kaan main nahi parti
Waha Khuda ka tanafus sunai deta hai

Rayt our baraf pay naqshay kafay pa mera hai

Rayt our baraf pay naqshay kafay pa mera hai
Main ne her simat main her mulak main her mousam main
Justju ki hai k shayed koi apna mil jaye
Koi wo, Jis k qareeb a k ye mahsoos karun
Zinda rahnay ka mujay bhi koi haq hasil hai
Main jo zinda hun to bay waja nahi zinda hun
Ab ye mahsoos hoya hai mujay Ik umar k baad
Ajnabi jo nazar aya tha wo he apna hai
Na koi khun k rishta na koi umer ki qaid
Wo jo bay lous hai pani main kanwal ki sorat
Jo muhbat k siwa kuch bhi nahi day sakta
Jo muhbat k siwa kuch bhi nahi day sakta

Kuch nahi mangta shahon se ye sheda tera

Kuch nahi mangta shahon se ye sheda tera
Is ki dolat hai faqat naqshe kafe pa tera

Tah ba tah terigiyan zahan pay jab tot ti hain
Noor ho nata hai kuch oh rahe weda tera

Kuch nahi sojta jab payar ki shidar se mujay
Jhalk uthta hai meri roh main mena tera

Poray qad se khara hun to ye tera karam
Muj ko jhuknay nahi deta hai sahar tera

Dasgeri meri tanhai ki to ne he to ki
Main to mar jata agar sath na hota tera

Log kehtay hain k saya tere pakar ka na tha
Main to kehta hun jaha bhar pay hai saya tera

To bashat bhi hai magar fakhre bashar bhi to hai
Muj ko yaad hai bus itna sarapa tera

Main tujay alam e ashiya main bhi pa leta hun
Log kehtay hain k hai alam e bala tera

Meri ankhon se jo dhundain tujay her so dekhain
Sirf khalawt main jo kertain hain nazara tera

Wo anderon se bhi durana guzar jatay hain
Jin k mathay main chamakta hai sitara tera

Nadiyan ban k paharo main to sub gumtay hain
Rahgazaro main bhi bagta raha dariya tera

Sharaq our gharb main bikhray hoye gulzaro ko
Nakhatain banta hai aaj bhi sehra tera

Ab bhi zulmaat frosho ko gila hai tuj se
Taat baki thi k soraj nikal aya tera

Tuj se pahlay k jo mazi tha hazaro k sahi
Ab jo ta hashar k fard hai wo tanha tera

Aik baar our bhi batha falsteen main aa
Rasta dekhti hai masjid e aqsa tera

Khuda kere k meri arze pak per utray

Khuda kere k meri arze pak per utray
Wo nasal e ghul jisay andesha e zawal na ho

Yaha jo phol khilay wo khila rahay bharson
Yaha khizan ko bhi guzarnay ki majal na ho

Yaha jo sabza ugay wo hamaisha sabaz rahay
Our aysa sabz k jis ki koi misaal na ho

Ghani ghtayen yaha aysi barshain barsayen
K pathro se bhi roydgi mahal na ho

Khuda keray k waqar is k ghair fani ho
Our is k husn ko tashwish mah o saal na ho

Her aik fard ho tahzeeb o fun ka ooj e kamal
Koi malool na ho koi khasta haal na ho

Khuda kere k meri arze pak per utray
Wo nasal e ghul jisay andesha e zawal na ho

Chandi ne rang e shab jab zard ker dala

Chandi ne rang e shab jab zard ker dala... to main
Aik ayse shahar se guzra... Jahan
Sirf diwarain numayan thin
Chatain madoom thin
Our galiyan main faqat saye rawa thay
Jism ghayeb thay

Kon kehta hai k mout aye gi to mar jaon ga

Kon kehta hai k mout aye gi to mar jaon ga
Main to dariya hun smandar main utar jaon ga

Tere pahlo se jo uthun ga tu mushkil ye hai
Sirf aik shakhas ko paon ga jidar jaon ga

Ab tere shahar main aon ga musafir ki traha
Saya e abar ki manid ghuzar jaon ga

Tere peman e wafa rah ki diwar bana
Warna socha tha k jab chahun ka mar jaon ga

Chara sazo se alag hai mera mayar k main
Zakham khaon ga to kuch our sanwar jaon ga

Ab to khursheed ko dobay hoye sadiyan guzrin
Ab isay dhundnay main ta ba sahar jaon ga

Zindgi shaman ki manid jalat hun Nadeem
Buj to jaon ga mager subhau to ker jaon ga

Jab tera hukam mila tarke muhabat ker di

Jab tera hukam mila tarke muhabat ker di
Dil magar is pay wo dharka k qayamat ker di

Tuj se kis tarah main izhare tamna kerta
Lafaz socha to mayni ne baghawat ker di

Main to samja tha k lout atay hain janay walay
To ne ja ker tu judai meri qismat ker di

Muj ko dushman k irado pay bhi payar ata hai
Teri ulfat ne muhabat meri adat ker di

Kaya tera jism tere husn ki hidat main jala?
Rakh kis ne teri sonay ki c rangat ker di

Gul tere rang chura laye hain gulzaro main

Gul tere rang chura laye hain gulzaro main
Jhal raha ho bhari barsat ki bhocharo main

Mujay se katra k nikal ja magar ay jan e jahan
Dil ki loh dekh raha hun tere rakhsaro main

Muj ko nafrat se nahi payar se masloob karo
Main bhi shamil hum muhabat k gunahgaro main

Mere kese main tu ik soot ki inti bhi na thi
Naam likhwa diya yousuf k kharidaro main

Rut badal hai tu mayar badal jatay hain
Bulbulain kar liye phirti hain mankaro main

Chal ray bazar e hunar se koi bahroop Nadeem
Ab tu fankaar bhi shamil hain ada karo main

Tuesday, February 9, 2010

Phool jab khil chuka to kahnay laga

Phool jab khil chuka to kahnay laga
Ab mera husn mere bus main nahi
Ab main apbi bhi dastras main nahi

Tumharay oje tahzeeb o saqafat ka

Tumharay oje tahzeeb o saqafat ka
Zamana mutraf hai
Our main bhi mutraf hun
Sirf ye nanah sa shikwa
K tum bay numa kha numano k kalejo main utarti barchayo ko to ajayeb ghar main
Fankarana andaz e tanasub se sjatay ho
Magar chalni kalajay bhol jatay ho!

Hum sayasat se muhabat k chalan mangtay hain

Hum sayasat se muhabat k chalan mangtay hain
Shab e sahra se magar subh e chaman mangtay hain

Wo jo ubra bhi to badal main lipat ker ubra
Isi bechray hoye soraj se kirn mangtay hain

Kuch nahi mangtay hum log bajiz azne kalam
Hum to insaan ka baysakhta pan mantay hain

Ayse ghunchay bhi ghul chain ki kaba main hain aseer
Baat karnay ko he jo apna dehaan mangtay hain

Hum ko matloob hai taqreem e kado gasoo
Aap kehtay hain k hum daro rasan mangtay hain

Lamha phar ko to lubha jatay hain nayray laykin
Hum to ay ahalay watan watan darde watan mangtay hain

Usay main ne dekha

Usay main ne dekha
To socha
K ab chand ne
Apnay soraj se
Loo mangna chor di

Ager baraj girti hai

Ager baraj girti hai
Girti rahay
Akhir kaar is ko
Tamazat ki yalghar main
Yun pigalna hai
Kuch aysi dar fatangi se pigalna ha
Jese na pigali
To pathar ki ho jaye gi

Andaz ho baho teri awaz pa ka tha

Andaz ho baho teri awaz pa ka tha
Dekh nikl k ghar se to jhunka hawa k tha

Utha ajab tazad se insaan k khameer
Aadi fana ka tha to pujari baqa ka tha

Is rashta e lateef k israr kaya khulain
To samnay tha our taswoor Khuda ka tha

Tota to kitnay aynay zano pay zad pari
Atka hoya galay main jo pathar sada k tha

Chup chup k royon our sare anjuman hasu
Muj ko ye mashwara mere dard ashna ka tha

Dil raakh ho chuka to chaman our barh gayi
Ye teri yaad thi k amal e qimiya ka tha

Is husne itfaaq pay lut ker bhi shad hun
Teri raza jo thi wo taqaza wafa ka tha

Heran hun k dar se kese bacha Nadeem
Wo shakhas to ghareeb o ghayor intha ka tha

Yahan se abdiyat ki hadain door nahi

Yahan se abdiyat ki hadain door nahi
Baraf he baraf nazar ati hai tahad nazar

Soraj hai na tara hai na poo hai na shafaq
Ki roshni hai baraf ki tariki hai

Yahi wo abdiyat hai K jis ki dhun main
Dil ne jazbat o khayalat ki hidat kho di

Ab waqat k is roza yakh basta main
Banain gay to majawar he banain gay hum log

Monday, February 8, 2010

Taqmeel hai kalmay ki to takbeer k pechay

Taqmeel hai kalmay ki to takbeer k pechay
Konain ki zoo hai teri tanveer k pechay

Bus husnay dahan hai to tere naam ki tasbih
Rahmat hai teri asi teri dilgair k pichay

Milta hai shabo ko teri zulfo ka fasana
Waleel ki ayat ki tafseer k pechay

Jo chader e yamni hai wo anwane muzamil
Our is ki mahak aya e tatheer k pechay

Darain k khawabo main to yousaf k takhafur
Jalway tere washams ki tabeer k pechay

Jin qafilo ka rukh k soye dahare Nabhi hai
Pinhan hai iram un ki he taqdeer k pechay

Meray afqar pay is trah wo chaya howa hai

Meray afqar pay is trah wo chaya howa hai
Ayse lagta hai k dil he main samaya howa hai

Meri taqrari o taqalum pay fida shahre sama
Khush khitab our hai lahjay main jo aya hoya hai

Chand k qalab ko ye dagh diya hai kis nay
Kiyn ye lagta hai kisi ka ye sataya hoya hai

Bazm main meri pazirai ko kafi hai yahi
Bus mera mah shab e zeesat jo aya hai

Halqa chashme tabasm main mujay yun na rakho
Ghayz kuch logo ko is baat pay aya hoya hai

Lanay walay ko na dayo ye rakho zyre nazar
Kis ki janib se hai paygham jo aya hoya hai

Aas hai ankh se chun lay a ker wahi moti
Aik mudat se hamain jis ne rulaya hoya hai

Meray chahray pay jazbo k saliqay likh rahi thin

Meray chahray pay jazbo k saliqay likh rahi thin
Wo ankhain ishq k sachay sahifay likh rahay thin

Wo batain payar ki ayat ki qirat ki manid
Tamano k sub nori qazifay likh rahi thin

Guma k band dar ahsas ki dastak ki zad main
Howain aas k gowa wasiqay likh rahi thin

Wahan alfzo k dar ayase zarori bhi nahi thay
Jahan ye chahtain khud hi darichay likh rahi thin

Shadidi izhar k tarze sukhan bus tha khamoshi
Nigahain baat karnay k tariqay likh rahi thin

Baha ker lay gai jazbat ki wo absharain
Jo janay zabt k kab waqiqay likh rahay thay

Mahinwal ka ishq adhora hai

Mahinwal ka ishq adhora hai
Kabhi tum bhi patn china utru
Ik gaghar sing
Mahinwal malng
Ye kon sa ishq tariqa hai
Ye kesa dhang
Mahinwal malng
Jab biphri majo main koi parymi bulwaye
Mahbob ko door kinara bhi
Gar ashqi sachi ho to dobnay se pahlay
Khushki per aan utaray bhi
Bus sachi payar main wo thi k
Jo payar ko ker mahboob gai
Ik such ko lay ker doop gai
Gar tum bhi sachay ashiq thay
Kiyn na utray is raat
Ko kachi gaghar sung
Mahinwal malng

Madar e gardishay e alam ka jo ishara thi

Madar e gardishay e alam ka jo ishara thi
Badal gai wo nazar jo mera sahara thi

Wafa meri thi asir e khalos e qalb o nazar
Pata chal k wo matrook istayar thi

Milo hamain bhi our un se bhi rabta rakho
Abhi talq to ye tohain bhi gawara thi

Wo baat karta to honto pay phol khiltay thay
Bahar e wasal k amkan ka nazara thi

Main is k saye main taqdeer parh liya karti
Niga us ki k roshan koi sitara thi

Khushi ne phir se udasi ki urhni urhi
Gai wo rut k jo rango ka istayar thi

Jo noor ki sachai ko likhtay hain zamin per

Jo noor ki sachai ko likhtay hain zamin per
Is trah k mahtaab bhi utartay hain kahin per

Ahasas hain ye teri rafaqat k qarishmain
Bamhon main teri lagta tha hain arshain barin per

Anchal main tikay tere tabasm k sitaray
Jhomar ki trah khawab nigahun ki jabin per

Wo rukh ko meray dekhta jata tha musalsal
Our titlian dharkan ki urhin dil ki zamin per

Han sadqe muhabat se mila karti hai manzil
Tum pukhta aqida to rakho apnay waqeen per

Ikhlas k makhmal main hain paywand e wafa
Qimat yahi likhi hai meray dil k nagin per

Sahmi hoi khawahishun pay abhi jis ka asar hai
Wo choot hai sadmat ki is janain khazi per

Hawa se khushbu ka koi paygham aya nahi

Hawa se khushbu ka koi paygham aya nahi
Diye jalaye magar khush kharam aya nahi

Is ka matn tan o jan ka ker raha hai khasar
Wo aik khat jo abhi mere naam aya nahi

Abhi se chand ki khatar darichay kholna kaya
Abhi to sham hai mah tamam aya nahi

Kuch aysa tha k wo lahja isi ka wirsa tha
Ya oral vigo ko husnay kalam aya nahi

Hamaray hath bhi dar khat khatana janatay hain
Jo intikhab ho dil ka wo baam aya nahi

Dilo k soday main nuqsan ho bhi sakta hai
Showr tha to sahi meray kaam aya nahi

Galhary dhang rang se khush posh thay hum bhi

Galhary dhang rang se khush posh thay hum bhi
Prawaz main is shokh k hum dosh thay hum bhi

Lamhaty thay maqayd tere lahjay k asar main
Is raat sarapa hama tan goosh thay hum bhi

Alfaaz ka kaya kaam jab ankhain hun sakhnoor
Ye soch k lab basta o khamosh thay hum bhi

Jazbo k talaq k mawafiq thi fiza kuch
Izhar ki khatir baray pur josh thay hum bhi

Is zeest k afrayto kay hath main na pohnchay
Sinay main tere is liye roposh thay hum bhi

Kuch wo bhi bhala beta tha paymane muhabat
Kuch ye k buhat zod framosh thay hum bhi

Gulabi shaam main rango ki kahkasha ban ker

Gulabi shaam main rango ki kahkasha ban ker
Nazar uthi meray jazbo ki tarjuma ban ker

Wo sahar tha k koi saaz us ki qurbat ka
K naghma khwan hoi dharkan bhi dastan ban ker

Main us main roye bahara talashti he rahi
Jo sahan e dil ko bhasam ker gaya khiza ban ker

Main jis shajar se bhi range hawat panay gai
Shikar e bark pata ho gaya dhowan ban ker

Shadid chah hai saye main apnay bethay rahun
Per aglay pal ye milay ga azab e jan ban ker

Ye bandisho k nagar hain shukhan dari k janno
Hain guftago main takhaiyol meri zuban ban ker

Sarso phol bani our koyel kokat raag malhar

Sarso phol bani our koyel kokat raag malhar
Nariyan jholay daal k dekhat hain sawan ki dhar

Jhal ban mahi jesi barhan thi kant ban waas
Ab to hariyali howat hai man ki ik ik aass

Badli ki dholi ki chilman jab uth jawat hai
Amber bhi ayse jhalwo ki taab na lawat hai

Mukh per lali akhaian gajra gajray phol bahar
Rut bhi man mohan hai is per guri kart singar

Nayn jo lagay hun pretm sang jiwan holi ho
Akhaian nagri main bus preet ki ik rangoli ho

Dhani rangat main bhigat ho dil ki chatri
Our poon lahra k gawat ho ik dhumri bhi

Raaj kumari bhi urat ho anchal ik zartar
Raja g bhi pahnay howat ho phalwa k haar

Jhan jhan bajat ho playliyan rut k paon main
Jesay ap chaly khusro g shah nazam k sang

Fragh e waqat meer ho Khawab suntay rahain

Fragh e waqat meer ho Khawab suntay rahain
Tere sukhan k mahaktay gulab suntay rahain

Jo taar charay rahay hain her aik darkan k
Teri ada k ye saye ye rabab suntay rahay

Tere sukhan ko smayet k her hasar main lain
Jahan se kat k wo tera khitab suntay rahin

Ye altfaat bhi qurbat k humraqab hai gar
To dharkano k sawalo jawab suntay rahain

Tamam guzti hoi sayto k lab kholain
Kitab e hijar ka sara nisab suntay rahain

Sunday, February 7, 2010

Darichay khool do dil k

Darichay khool do dil k
Ghalat fahmi ki makri ne
Bari saryat se ik jala sa bun dala
Muhabat is k taron main ulaj ker
Hath paon mar kar bachnay ki koshish ker rahi hai
Ik mudat se
Wohi zahni kashmaksh our kurb k is jaal se
Niklay bhi to kese
Wo koi roshni apnay daricho se idar anay nahi deta
Haye aytbaro bahmi ulfat k jhonko ko
Wo shahar e dil ki galio main guznay he nahi deta
Mere jazbo ka such fahmo frast ki faslo se
Utarny he nahi deta
Magar her din ki roh pahli karne se main ye kahti hun
Isay ab ho sakay to haqiqat ashna ker do
Zara ghar k anderon main lagay in shak k jalo main
Wafa ki is ufli kiran ko kaam karnay do
Darichay khool do dil k

Ye fakhar to hasil hai buray hain k bhalay hain

Ye fakhar to hasil hai buray hain k bhalay hain
Do char qadam hum bhi tere sath chalay hain

Jalna to charagho k muqadar hai azal se
Ye dil k kanwal hain k bujay hain na jalay hain

Nazuk thay kahin rango baye saman se
Jazabat k adab k sanchay main dalay hain

Thay kitnay sitaray k sahar sham he dobay
Hangam sahar kitnay he khursheed dhalay hain

Jo jheel gaye huns k kari dhoop k taywar
Toro ki khanak chaon main wo log jalay hain

Jab tere tasawar ne jalai nahi shamain
Lamhat wohi apany dil o jan pay khilay hain

Khushbo se to andaza e shaban nahi hota
Wo kon se nagmay thay k pholo main dhalay hain

Ik shama bujai to kai our jala lin
Hum gardishe doran se bari chal chalay hain

Friday, February 5, 2010

Wo lamha jo mera tha

Wo lamha jo mera tha
Ik din
Tum ne muj se kaha tha
Dhoop kari hai
Apna saya sath he rakhna
Waqat k tarkash main jo teer thay khul ker barsay hain
Zard hawa k pathrilay jhonko se
Jism ka panchi gayal hai
Dhoop ka jangal payas ka dariya
Aysay main anso aik aik bond ki
Insan tarsy hain
Tum ne muj se kaha tha
Samay ki bahti nadi main
Lamhay ki pahcha bhi rakhna
Meray dil main jhak k dekho
Dekho sato rang ka phol khila
Wo lamha jo mera tha wo mera hai
Waqat k payqa bay shak tan per an lagay
Dekho is lamhay se kitna gehra rishta hai
Khushbo band darechay khol rahi hai
Chandni rato sa mosan bhi
Kaliyan bhi hain shaban bhi
Ye sub meray ayinay hain
Our her ayinay main tum ho!

Suno jaan!

Suno jaan!
Tum ko khabar nahi
Log akasar bura mantay hain
K meri kahani kisr mour per bhi
Anderi gali se guzarti nahi
K tum ne shoan se her rang lay ker
Meray her nishan e qadam per dhanak somp di
Na ghum ghashta Khawabo ki pechaiyan hain
Na bay aas lamho ki sargoshiyan hain
K nazuk harail bail ko
Ik tawan shajar unginat apnay hatho main
Thamay hoye hai
Koi na rasai ka asayb is rah guzar main nahi
Ye kesa safar hai k rod dar jis ki
Gabar e safa main nahi

Koi snag rah bhi chamak utha to sitara sehri kahan

Koi snag rah bhi chamak utha to sitara sehri kahan
Meri raat bhi teray naam thi usay kis nay tera sabi kaha

Meray rozo shab bhi ajeeb thay na shumar tha na hisab tha
Kabhi umer bhar ki khabar na tha bhi aik pal ko sadi kaha

Mujay janata bhi koi na tha mera ba nayaz tere siwa
Na shikaste dik na shikaste jan k teri khushi ko khushi kaha

Koi yaad a bhi gai to kaya koi zakham khil bhi utha to kaya
Jo saba qareeb se ho chali isay minato ki ghari kaha

Bhari dopahar main jo pass thi wo teray khayal ki chao thi
Kabhi shake gul se misal di kabhi is ko saro sahi kaha

Kahin sang rah kahin sang der k main pathro k nagar main hun
Ye nahi k dil ko khabar na thi ye bata k mun se kabhi kaha

Meray harf harf k hath main sabi ayno ki hain kirchiyan
Jo zuban se ho na saka Ada ba hadod bay sakhni kahan

Thursday, February 4, 2010

Ab khalqat muj se pochaty hai tumhain kese sari bat mili

Ab khalqat muj se pochaty hai tumhain kese sari bat mili
Kis ism ka tum ne vird kiya jab tum ko hajeli raat mili

Kaya dhoop bhari dopahro ki bay dard hawayen kuch bhi na thi
Tum ujli kachi kaliyo si kaya sobho tumhain soghat mili

Wahi gajray sachi chahat ke wahi nikhra roop sohana suhagan ka
Tum kon se dar tak ja pohacnhay tumhain raaz milay tumhain ghat milay

Ye hansti basti tanhai jisay shahray nijat zaat kahin
Kis dard ne tum ko dikhlai kis zakham se kis k hat mili

Tum ayeno ko daan karo kabhi deep naya kabhi roop naya
Wo sub ankhon main aik c thi jo tasveer halat mili

Kahi phol bhi hain kashkol Ada kahin kanta jee ko lag jaye
Wo daynay wala janay hai yan kis ko kaya oqat mili

Ye zamini bhi hai zamani bhi

Ye zamini bhi hai zamani bhi
Fitrat e ishq asmani bhi

Sharat hai jaan se jaye pahlay
Hai ajab umer jao dani ki

Tum ne jo dasta sunai hai
Hai wahi to meri kahani bhi

Kitnay dilchasp lagnay lagtay hain
Meray qisay teri zabani bhi

Hain zarorat buhat hamaray liye
Ye fiza aaj our pani bhi

Ho gai khatam aik kiran k sath
Raat bhi nind bhi kahani bhi

Mat unhain janiye daro diwar
Hain yaha yadain kuch sohani bhi

Han unhin per kahi hoi tahrirain
Meray maan baap ki jawani bhi

Hum jinhain chor ker chalay aye
Thay wo ajdad ki nishani bhi

La makan k zikar kheyr Adeel
Go hain qisay buhat makani bhi

To jo chahay b to sayad nahi honay kay

To jo chahay b to sayad nahi honay kay
Lab hamary lab e faryad nahi honay kay

Koi achi bhi khabar kan main aye ya Rub
Aysi khabro se to dil shad nahi honay kay

To rahay hum se khafa kitna he chahay laykin
Hum kabhi tuj se nahi nashad nahi honay kay

Kar e duniya ko hain darkar hamari umrain
Kar e duniya se to azad nahi honay kay

Un ginat jagtay chaharay gaye mati k talay
Ab nay zulm to ayjad nahi honay kay

Ta qayamat wahi ik naam rahay ga abad
Hum kabhi mustaqbil abad nahi honay kay

Khak ho jayen gay hai ye to muqadar apna
Hum magar wo hain k barbar nahi honay kay

Chahay ninrood ho firon ho yan ho yazeed
Sahbay shajara o ulad nahi honay kay

Is kay kochay main khak mian uratay kiyn ho
Tum se majno to usay yad nahi honay kay

Wo zamany k Adeel hum bhi thay us ki pehchan
Wo zamany to usay yaad nahi honay kay

Sabaso hum hai yaro baqa kisi ki nahi

Sabaso hum hai yaro baqa kisi ki nahi
Chragh sub bejain gay hawa kisi ki nahi

Karo na gulshane hasti taba is liya
Na hath aye gi yaho saba kisi ki nahi

Zamana ghuzra k dil per hoi thi aik dastak
Phir ik k baad to ai sada kisi ki nahi

Tamam doniya k qiso se mila hia ye sabaq
Qasoor sub hai hamara khata kisi ki nahi

Wafa, khaloos, muhabat, Gunah, makro fareyb
Ye la ilaj hain saray dawa kisi ki nahi

Mujay to lagta hai jesay ye kaynat tamam
Hai bazgashat yaqinan sada kisi ki nahi

Buhat bharosa tha hum ko Adeel apno ka
Hamary kam to ai wafa kisi ki nahi

Nihan fana main baqa hai zara sambal k chalo

Nihan fana main baqa hai zara sambal k chalo
Ye khak khak e shifa hai zara sambal k chalo

Her aik zahan main andesha haye door draz
Her aik lub pay sada hai zara sambal k chalo

Hain is ki khak k parday main asman kai
Zameen karbo mala hai zara sambal k chalo

Jahan se tum ko payamo salaam atay hain
Wo shahar shahar e jafa hai zara sambal k chalo

Ye sahan arze harm hai ba ahtayat qadam
Buhat Qareem Khuda hai zara sambal k chalo

Abhi kisi ki jhalak hai her aik chaharay main
Abhi ye zakham naya hai zara sambal k chalo

Safar bhi dhoop hai our Adeel talon ko
Her aik zakham hara hai zara sambal k chalo

Naam sunta hun jab tera bharay sansar k bech

Naam sunta hun jab tera bharay sansar k bech
Lafaz ruk jatay hain meri guftar k bech

Dil ki bato main na yaaar k is basti main
Roz dil walay chunay jatay hain diwar k bech

Aik he chahra kitabi nazar ata hai hamain
Kabhi ishar k bahir kabhi ishar k bech

Aik din tota magar kitni nfabain paltin
Jeet k pahlo nikal aye kai haar k bech

Koi mahfil nazar us ki hamin per thahri
Kabhi apno main sataya kabhi aghyar k bech

Aysay zahid ki qayadat mian toba toba
Kabhi iman ki batain kabhi kufar k bech

Jis trah tat ka paywand ho makhmal main Adeel
Maghrabi chal chalan Mashraqi iqdar k bech

In aqeedo k nasab k naam k

In aqeedo k nasab k naam k
Khatam hun ye jhagray subu sham se

Ye malokiyat ye sub dahshat gardi
Our sub janday talay islam k

Bay asar hain un pay sub ismo sahar
Wo jo ashiq hain tumharay naam k

Kaya tamashsa hai ser aghaz he
Muntazar bethay hain sub anjam k

Zindgi bhar bus tago do he rahi
Kash din ajayen ab aram k

Kon hai jo such ko apnaye Adeel
Koi to uthay jigar ko tham ker

Hum aftab se dhaltay hain kuch khabar hai tumhain

Hum aftab se dhaltay hain kuch khabar hai tumhain
Khud apni aag main jaltain hain kuch khabar hai tumhain

Jo sang tot na paye jahan ki koshish se
Hamaray ghum se pighaltay hain kuch khabar hai tumhain

Tumhari rah main ankhain bicha rahay thay kabhi
Jo aj rah badltay hain kuch khabar hai tumhain

Balandio pay na dhondho k joharay nayab
Zameen ki god main paltay hain kuch khabar hai tumhain

Zamana jesay bahlta hai meri jan hum bhi
Usi trah se bahltay hain kuch khabar hai tumhain

Hum ab e sim ki manind sari raat Adeel
Bina tumharay machltay hain kuch khabar hai tumhain

Bazam main teray na honay ka sawal aya buhat

Bazam main teray na honay ka sawal aya buhat
To nahi tha to aaj teri khayal aya buhat

Dekhtay he dekhtay shahon ki shahi chin gai
Ba qamalo per zmanay main zawal aya buhat

Jahal k saye main gahri nind hum sotay rahay
Han azan daynay ko masjid main bilal aya buhat

Saya asayb hai mat jana tum chothi taraf
Is taraf jo bhi gaya wapis nidal aya buhat

Teri janib a raha hon roh ki taskeen ko main
Hasratain dil main duniya main nikal aya buhat

Hum chitano ki traha bahir se sakat thay Adeel
Phir bhi akasar zaat main apni abal aya buhat

Main is se qimti shay koi kho nahi sakta

Main is se qimti shay koi kho nahi sakta
Adeel maan ki jaga koi ho nahi sakta

Meray Khuda yahan darkar hai masehai
Laho ko admi ashko se dho nahi sakta

Ye our baat hai ho jaye mujza koi
Ye gham khushi main badal jaye ye ho nahi sakta

Zara ye jaan nikal jaye to milain gay zaror
K zindgi to main aysa ho nahi sakta

Teri doweyn hamaisha rahain gi sath magar
Main teri good main ser rakh ker so nahi sakta

Khuda ka shukar k waqif hai hal e dil se to
Haroof main to teri gham samo nahi sakta

Juda jo ho gaye tasbeh e rozo shab se Adeel
Main zindgi main wo danay paro nahi sakta

Ye un dino ka zikar hai ik badsha tha

Ye un dino ka zikar hai ik badsha tha
Jis ki nazar main zindgi karna gunah tha
Shoq e marjat ki waha urth rahi tha khak
Kashti jali hoi thi kinara sayah tha
Main us k sath phirta tha kasre qaseem main
Is doti ka ik kabotar gawa tha
Betha tha is pay chand kisi cheel ki taraha
Kitna land shahar main nakhle gunah tha
Totay paro ka taj meri yadgar hai
At kaj kala main bhi kabhi kaj kala tha
Ahlay hunar ko meri raror thi jin dino
Takiya faqeer ka meri ama jaga main tha

Ye ajab sayete rukhsat hai k dar lagta hai

Ye ajab sayete rukhsat hai k dar lagta hai
Shahar ka shahar mujay rakhtay safar lagta hai

Hum ko dil ney nahi halat ne nazdik kiya
Dhoop main dor se her shakhs shajar lagata hai

Jis pay chaltay hoye socha tha k lout aon ga
Ab wo rasta bhi mujay shahary badr lagta hai

Muj se to dil bhi muhabat main nahi kharch hoya
Tum to kehtay thay k is kam main gar lagta hai

Waqat lafzo se banai hoi chadar jesa
Orh leta hun to sub khawab hunar lagta hai

Aik mudat se meri maan nahi soi Tabish
Maine ik bar kaha tha mujay dar lagta

Yar k ghum ko ajab nakash giri ati hai

Yar k ghum ko ajab nakash giri ati hai
Por por ankh ni manid phari ati hai

Bay taluq na hamain jan k hum jantain hain
Kitna kuch jaan k ye bay khabri ati hai

Is qadar gundna perti hai laho se mati
Hath ghul jatain hain to koza giri ati hai

Kitna rakhtay hai wo is shahary khamosha ka khayal
Roz ik nao gulabo se bhari ati hai

Zindgi kese bus ho gai k hum ko tabish
Sabar ata hai na ashfta sari ati hai

Wo Bolta hai na dil main utarta hai mujay

Wo Bolta hai na dil main utarta hai mujay
Hamaisha mar muhabat ki marta hai mujay

Main us ka lamha mujod hun magar wo shakhas
Fazol waqat smaj ker guzarta hai mujay

Bazahar aysa nahi pairh is hawayli ka
Hawa chalay to buhat phol marta hai mujay

Main is k hath main jata hon malo zer ki trah
Wo rooz qarz smaj ker utarta hai mujay

Ye baran saal pahlay ki kahani hai

Ye baran saal pahlay ki kahani hai
K jab sarso ki gandal tha badan mera
Hawa muj ko khilati thi
Mujay charkhay ki khokhar se hi gahri nind ati thi
Dahan main sheer madar ki mahak k akhri din thay
Jawani jhil milati thi
Meri ankhon meray hatho meray pero main bosay thay
Meri maan muskurati thi

Ye baran saal pahlay ki kahani hai
Main apnay ap main rahta tha jese phol main khushbu
Mujay ik naam ghar ki trah mitha tha ab bhi hai
Is ki shakrain chub main
Kahani lo barati thi
Ye baran saal pahlay ki kahani hai
Main hatho se gira harfe dua ban kar
Magar boso bhari shafqat tasali dhond lati thi
Na main sardo ki gandal tha
Na muj ko nind ati thi
Ajab c bay sbasi thi
Phir ik din bay gari muj ko meray ghar se nikal i
K jesay ankh se anso nikal ker phir nahi ata
Tujay to sab khabar ho gi
Mujay malk juno miras main day ker koi wapas plat aya
Wahan ki jagti ratain
Ser khama utarti nind ki khatain
Wo daftar main paray pather kleb se phot ti batain
Na main sardo ki gandal tha
Na ab charkhay ki khokhar thi k muj ko nind a jati
Pari muj ko dra jati

Ye bara roz pahalay ki kahani hai
Mujay gari ne station pay la phaynka
To mera shahar hi gum tha
Meri pahchan he gum thi
Meray dukh se bhara tanga gaya jab raylay bazar ki janib
Mera ghar bhi meray bachpan ki sorat
Gard guzran main kahin gum tha
Phir ik shahtot ki chao se pocha apnay baray main
Kisi saya kay nakshay ki sorat khul gaya muj per
Na is main mera bachpan tha
Na meray khana zado ki nishani thi
Phir ik dokan pay lat ki hoi tasveer se pocha
Tujay to sub khabar hogi
Yayan Abbas Tabish naam ka aik shakas rahata tha
Kahan hai wo
Na ba sarso ki gandal
Na wo charkhay ki khokhar
Magar ab band darwazay pay dundlay naam ki takhti
Meray gar ki nishani hai
Ye meray aaj k din ki kahani hai

To praday mar day aro snober mar day

To praday mar day aro snober mar day
Teri marzi jis ko dahshat gard keh k mar day

Tei is k manany walo se pala parh gaya
Jo parinday bej ker lashker k lashker mar day

Tum bhi mosa k ta qub main chalay to aye ho
Dekhna tum ko na ye nila smandar mar day

To ne jis ko dhondnay main bej di itni sapa
Ye na ho wo tuj ko tere ghar k andar mar day

Is ko kaya haq hai yahan barod k barish karay
Is ko kaya haq hai meray ranglay kabotar mar day

Fyslay trikh k medan main hotay nahi
Marany walo koi tum ko mar k maar day

Roshni k wastay pandar ka soda na kar
Samnay soraj bhi hai to us ko dhokar mar day

Gonj to bhi is k lahjay main pahro ki taraha
Tabish is bat to bhi is k mun per mar day

Tere gumnam ager naam kmanay lag jayen

Tere gumnam ager naam kmanay lag jayen
Sharf o shewa tasleem thikanay lag jayen

Jis trah noor se payda hain jahane ishiya
Ik nazar dal ker hum bhi nazar anay lag jayen

Ye bhi mumkin hai koi roknay wala he na ho
Ye bhi mumkin hai yaha muj ko zamanay lag jayen

Dekh ay husney frawan ye bhi mumkin hai
Mera del tak na lagay tere khazanay lag jayen

Jin k honay se hai mashrot hamara hona
Apnay honay ka na ahsas dilanay lag jayen

To muhabat ki gharz lamha mojood main rakh
Tere zimay na mere dard poranay lag jayen

Ye muhabat na kahen rad e amal ban jayen
Hum tere bad na koi zulm dhanay lag jayen

Kar e duniya bhi ajab hai k meray ghar walay
Din niklatay he meri khabar manany lag jayen

Pass he doob rahi hai koi kashti tabish
Khod nahi bachti ager is ko bachanay lg jayen

Main isay sochta raha yani

Main isay sochta raha yani
WO mera khwab hai Khuda yani

Hijar hijar se tak thi ye hijrat
Wo mila yani kho gaya yani

Gardishe mahro mah ka hal
Yani mera wajood layani

Dil kaha shahswar duniya tha
So gira gir k mar gay yani

To mujay us ka naam bhol gaya
HO gaya main bhi lapata yani

Kam ki bat pochtay kaya ho
Kcuh hoya kuch nahi howa yani

Chalaty rahay to cokh jaye ga
Ye smandr ye abla yani

Yani tum se to main mila he nahi
Wo koi our shakas tha yani

Koi awaz totnay ki nahi
DIl main ik baat hai khala yani

Us ko khush dekh wahan babar
Main bhi khush tha udas tha yani

Yahan se charo taraf rastay nikaltay hain

Yahan se charo taraf rastay nikaltay hain
Thahar thahar se hum is khawab se nikltay hain

Kisi kisi ko hai tahzeeb dasht e arai
Kai to khak urhatay hoye nikaltay hain

Yahan rawaj hai zinda jala diye jatay hain
Wo log jin k gharo se diye niklatay hian

Ajeeb dashat hai dil bhi jahan se jatay hain
Wo khush hain jesay kisi bagh se nikaltay hain

Ye log so rahay hon gay jabhi to aj talak
Zaroof khak se khawabo bharay niklatay hain

Sitaray dekh k khush hon k roz meri traha
Jo kho gaye hain unhain dondnay niklaty hain

Yahi mumkin tha mian is main karamat kesi

Yahi mumkin tha mian is main karamat kesi
Main tere bad bhi zinda hun to herat kesi

Aik he shahar main rahatay hoye dono ik umer
Mil nahi paye magar is main nadamat kesi

So ker uthay to isi khawab framosh ki dhun
Sayeer ka waqat sahi dil se fraghat kesi

Kuch drakht apni jarhain apnay sath liye phirtay hain
Isay mujbori smaj lijiya hijarat kesi

Dahar main wo dil he ik pal hai jo tareek nahi
Our kuch dair main ho jaye ho jaye ga ajlat kesi

In mashino ko bhala dil se alaqa babar
In se mat poch k hoti hai muhabat kesi

Yonhe ati nahi hawa muj main

Yonhe ati nahi hawa muj main
Abhi roshan hai ik diya muj main

Wo mujay dekh ker khamosh raha
Our ik shour much gaya muj main

Dono adim k muntaqam betay
Our howa un ka samna muj main

Main madinay ko lout aya hon
Yani jari hai qarbla muj main

Roshni anay waly khawab ki hai
Din to kan ka guzar chuka muj main

Is andaray main jab koi b na tha
Muj se gum ho gay Khuda muj main

Wednesday, February 3, 2010

Shiksta khawab o shiksta pa hon Mujay doan main yad rakhna

Shiksta khawab o shiksta pa hon Mujay doan main yad rakhna
Main akhri jang lar raha hon Mujay doan main yad rakhna

Hoyen pegham day gai hain k muj ko driya bula raha hai
Main baat sari smjh gaya hon Mujay doan main yad rakhna

Na janay kofay ki kaya khabar ho na janay kis dasht main basar ho
Main phir madinay se ja raha hon Mujay doan main yad rakhna

Mujay aziz zany man! muhabat ko koi b tajurba nahi
Main is safar main naya naya hon Mujay doan main yad rakhna

Mujay ab kisi se bhali ki koi tawqa nahi hai tabish
Main adt tan sub se kah raha mujay doyan main yad rakhna

Monday, February 1, 2010

Sari duniya main meray ji ko laga aik he shakhas

Sari duniya main meray ji ko laga aik he shakhas
Aik he shakhas tha aysa ba Khusa aik he shakhas

Darja kufar sahi mudae jamal jana
Dil ki pocho to Khusa se bhi bana hai aik shakhas

Aysa lgata hai sabhi ashqam kisi aik se thay
Aysa lgata hai mujay milta raha hai aik shakas

Wo jo main is ki muhabat bhi kisi our se ki
Un dino shahar ka har shakhas laha aik he shakhas

Main to ay ishq teri koza giri janta hon
Tum ne hum ho ko milaya to bana aik he shakhas

Muj se naraz na hona meray achay logo!
Kaya karon meri muhabat ne chuna aik he shakhas

To jo kehata hai tere jesay kai our bhi hain
Tuj ko dawa hai to khud sa dikha aik he shakhas

To jisay chahta hai main bhi usay chahta hon
Acha laga hai mujay tere siwa aik he shakhas

Dost! sun se kahan khenchata hai ghazal ka chila
Hujra meer main hota hai sada aik he shakhas

Sbaz gumbad ki jhalk dyda tar se agay

Sbaz gumbad ki jhalk dyda tar se agay
Dekh skti hai nazar haday nazar se agay

Jis jaga shart hai binai k bal chalnay ki
Wo safar our hai qadmo k safar se agay

Wo na chahain to kaha naat likhi jati
Mudahe Sarkar ki manzil hai hunar se agay

Sahbay ishq isay ishq ki dolat day day
Ik faqeer our bhi hai kasa e sir se agay

Tabish is dar pay sub israray azl khiltay hain
Meri hairat ki rasai hai khabar k agay

Paroon main shaam dhalti hai

Paroon main shaam dhalti hai
Kahan jana tha muj ko
Kis nagar ki khak balo main sjani thi
Mujay kin tahnion se dhoop chunana thi
Kaha khyma lagana tha
Meri mati rah sayar gan ki ham qadam nikli
Meri palko pay taray jhilmilaye
Bdan main ag jalti hai
Magar pao main khon asham rastay larkhratay hain
Ye kaya sheraza bandi hai
Ye meri bay pari kis kunj se hokar bahm nikli
Nazar main din niklta hai
Paro main sham dhalti hai
Magar main laho ki munjamid sil hon
Badan ki kashte wiran main
Ye kis ki ungliyon ne umer phar muj ko kuryda hai
Kahan sheran main chalta hoya ye qafila dhahra
K main is hath ki raykhao main rangay hina thahra
Kahan jana tha muj ko
Kis jaga khyma lagana tha

Paani aankh main bhar kar laaya jaa sakta hai

Paani aankh main bhar kar laaya jaa sakta hai
Ab bhi jalta shahar bachaya ja sakta hai

Aik muhbat our wo bhi nakam muhabat
Lakin is se kam chalay ja sakata hai

Dil per pani pinay ati hain umedain
Is chashmain main zahar milaya ja sakta hai

Muj manam se pochtay han farhad o majno
Ishq main kitna nam kmaya ja sakta hai

Ye mahtab ye rat ki peshni ka ghao
Aysa zakham to dil per khaya ja sakta hai

Phata porana khawab hai mera phir bhi tabish
Is main apna ap chupaya ja sakata hai

Na tuj se na qila asman se hoga

Na tuj se na qila asman se hoga
Teri judai ka jagara jahan se hoga

Tumharay mere taluq ka log pochtain hain
K jese faysla meray bayan se hoga

Agae yunhe rakha gay mujay akelay main
Bramad our koi is mkan se hoga

Jusai tay thi maga ye kabhi na socha tha
K to juda bhi judagana shan se hoga

Guzar rahain hain mere din isi tfakhur main
K agla qais mere khandan se hoga

Log jayen yab tera picha karain

Log jayen yab tera picha karain
Har qadam per sochtay hain kaya karain
Yan hamari talkh bato ko sahara
Yan bata day kis se hum jhagra karain
Dhondhtay to hum bhi hain rah farar
Sochtay to hum bhi hain ab kaya krain
Aik mudat ho gai roye hoye
Yar mjlas he koi barpa karain
Apni marzi se guzarain zindgi
Din main soyen rat ko jaga karain
Chornay ko chor dain doniya mgar
Itnay saray dosto ka kaya karain
Shahar ko shor e qayamat chahiye
Yar ye do char chiriyan kaya karain
Aap ko akhir ye haq kis nay diya
Aap ahle dil ko kiyan ruswa karain
Aap ne to phir bahaya khon e khalaq
Hum agar ghusay main ayen kaya karain
Shakh se kiyn tor lain taza gulab
Kiyn kisi tatli ka haq mara karain
Tum mukamal bat per khamosh ho
Log to pora mera jumla karain
Bus nahi chalat zmanay per agar
Bal hain sir par unhain nocha karain
Ye smandar to ugal deta hai lash
Qasad karna hai to sahara ka karain
Qais mil jaye to pochain marshada
Ishq karna chor dain yan karain

Jahan marg e sada main aik our silsila khatam ho gaya

Jahan marg e sada main aik our silsila khatam ho gaya
Klam yani Khuda hamamam se makamla khatam ho gay

Hamian to bus ye pata chala tha k onto walay chalay gay hain
Kisi ko is ki khabar nahi jo mamla khatam ho gaya

Na titlion jisi dopahar hai na wo soraj ghulab jesa
Jisay muhabat kaha gaya wo maghalta khatam ho gaya

Tumhari bato k jin pay shahtot char rahay ho wohi btayen
K talakh abad hain hamara to zayqa he khatam ho gaya

Hamari ankho se khawabo khas k tamam tmam pashtay hataye jaye
Hamar naraz paniyon se muahda khatam ho gaya

Ab is liye bhi hamain muhbat ko tool dyna paray ga Tabish
Kisi ne pocha to kaya kahain gay silsila khatam ho gay

Itna asa nahi mastand pay bithaya gaya hon

Itna asa nahi mastand pay bithaya gaya hon
Shahar tumat teri galio main phiraya gaya hon

Ye to ab ishq main g lagnay laga hai kuch kuch
Is taraf pahlay pahlay gher k laya gaya hon

Khof itna tha k diwar pakar ker nikla
Us ko milnay k liye sorat saya gaya main

Tum se kuch kahnay ki himat he nahi thi warna
Aik mudat teri dahleez pay aya gaya main

Khalwat e khas main bulwany se pahlay Tabish
Aam logo main buhat dair bethaya gaya hon main

Kansnay nahi deta kabhi ronay nahi deyta

Kansnay nahi deta kabhi ronay nahi deyta
Ye dil to koi kam bhi karnay nahi deyta

Tum mang rahay ho meray dil se meri khawhishain
Bacha to kabhi apnay khilonay nahi deta

Main ap uthata hon Shn ho roz ki zilat
Ye bojh kisi our ko dhonay nahi deyta

Wo kon hai us se to main waqif bhi nahi hon
Jo muj ko kisi our ka honay nahi deyta

Ik tahni par pholay phalay hain main pakistan our main

Ik tahni par pholay phalay hain pakistan our main
Har mosam main sath rahain hian pakistan our main

Kali rat hawa tofani Mola par utar
Aik he kashti par bethay hain pakistan our main

Ghafil bahi nahi rahanay dayti khof smay ki raat
Bari bari so laytay hain pakistan our main

Us k sir per bap ki paghri main hon na farman
Aik he shakas k do betay hain pakistan our main

Aor bhi kuch waqat lagay thakan utarny main
Hijrat kar k aye hoye hain pakistan our main

Apni misal to aysay hai tabish jesay do majzob
Apnay ap main ghum rahtay hain pakistan our main

Dasht main payas bujatay hoye mar jatay hain

Dasht main payas bujatay hoye mar jatay hain
Hum parinday kahin jatay hoye mar jatay hain

Hum hain sokhay hoye talab pay bethay hoye huns
Jo taluq ko nibhatay hoye mar jatay hain

Ghar pohanchta hai koi our hamaray jesa
Hum teray shahar se jatay hoye mar jatay hain

Kis tarah log chalay jatay uth kar chup chaap
Hum to ye dhayan main latay hoye mar jatay hain

Un k bhi qatal ka ilzam hamaray sir hai
Jo hamain zahar pilatay hoye mar jatay hain

Ye muhabat ki kahani nahi marti lakin
Log kirdar nibhatay hoye mar jatay hain

Hum hain wo toti hoyi kashtion waly tabish
Jo kinaro ko milatay hoye mar jatay hain

Dahktay din main ajab lutf uthawa karta tha

Dahktay din main ajab lutf uthawa karta tha
Main apnay hath ka titli pay saya karta tha

Agar main pochta badal kidar ko jatay hain
Jab main koi anso bahaya karta tha

Ye chand zayef se jis ki zoban nahi khulti
Kabhi ye chand kahani sonaya karta tha

Main apni tot ti zoban khandnay k liye
Kahin se lafaz ka paywand laya karta tha

Ajeeb hasrate parwaz muj main hoti hai
Main kapiyan main parinday banaya karta tha

Talashe rizq main bathkay hoye parindo ko
Main jayb kharch se dana khilaya karta tha

Hamaray ghar k qareeb aik jheel hoti thi
Our is main sham ko soraj nahaya karta tha

Ye zindgi to mujay tere pas lay ai
Ye rasta to kahin our jaya karta tha

Badban kab kholta hon par kab jata hon main

Badban kab kholta hon par kab jata hon main
Roz rastay ki trah dariya se lout ata hon main

Subu dam main kholta hon rasi apny paon ki
Din dhalay khud ko kahin se hang ker lata hon main

Apni janid se bhi deta hon kacho k jism ko
Us ki janib se bhi apnay zakhm salata hon main

Aik bachay ki tarah khod ko betha kar samnay
Khob khud ko kosta hon khob samjata hon main

Khushak pato ki trah hai qowate goyae b
Bat koi bhi nahi out bolta jata hon main

Ye wohi tanhai hai jis se bahl jata tha dil
Ye wohi tanhai hai jis se ghbrata hon main

Ishq main mana hai ghalib ki taraf dari mujay
Rob jab chalta nahi to paon par jata hon main

Meray hath atay hain tabish dosray mosam k phol
Aik mosam main to tahni tak pohanch pata hon main

Ay dost doyw our musafat ko baham rakh

Ay dost doyw our musafat ko baham rakh
Ye meri hathili hai yaha pahla qadam rakh

Aysay to zamana mujay jinay nahi day ga
Main kuch b nahi tera magar mera bharam rakh

Is bat pay duniya se meri banti nahi hai
Kahit hai k talwar utha our qalam rakh

Main jab b kahin rah main guzrany laga Tabisd
Awaz c ai mere qadmo pay qadam rakh