Abhi tota hai ik tara to shayed lout kar aye
Saba rakha hai ghar sara to shyed lout kar aye
Bajiz khamoshiyon tanhaiyon k kuch nahi baqi
Nazat phir bhi hai awara to shayed lout kar aye
Musafir lout kar atay nahi hain rah manzil pay
Main umeedo ka banjara to shayed lout kar aye
Isay rahti hai bay chyni k jald a jaye wo lamaha
Main dekho phir wo nazara to shayed lout kar aye
Towaqoat ka aik silsila dar silsila sochain
Wo aye woqat dobara to shayed lout kar aye
Buja hai ishq main jhal kar faqat ab rakh baqi hai
Qamar tera ye bechara to shayed lout kar aye
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment