Sunday, January 31, 2010

Honto pay jin k naam tamna se aye hain

Honto pay jin k naam tamna se aye hain
Rangeen waba pay gulshan zura se aye hain

Manzil banay kahin, kahin manzil nma bnay
Ik naqash pa k phol hain sahra se aye hian

Hain arzoe kon o maka fakhar anas o jan
Meydan karbala main jo tanha se aye hain

Ye shan hai inhi ki k all Rashol ( S A w) hain
Tishna dahan jo aye hain drya se aye hian
Jitnay chagh hain
Hawa ne sub charagh ko snbhala hai
Kisi bholi hoi awaz ka jado
Kisi nikhray hoye jazbay ki khushbo
Koi dastak koi ahat
Achanak jagtay lamhay ki karwat
Kisi harf e dowa ki ghunghunahat
Kisi sokhi hoi tahni pay qasid se koi kompal
Kisi ujaray hoye goshon main

Aysa andera to pahaly na howa tha logo

Aysa andera to pahaly na howa tha logo
Lo charagho ki to hum ne bhi larztay dekhi

Andhiyon se kabhi soraj na buja tha logo
Ayna itna mkrr ho kah apna chahrah

Dekhna chahain to aghayar ka dhoka khayen
Rayt k dhere pay ho mahml arman ka guma

Pesh lafaz

Pesh lafaz
Wo kam umari thi
Nadani k din thay
K main ne waqat k sahar se
Pocha tha pata apna
Our us jado k lamahay ne
Na janay Kaya kaha muj se
Na janay kaya suna main ne
K main ab tak safar main ho

Safar baqi hai

Safar baqi hai
Bataiyen kaya hamaray zakham zhkham kay gulab
Mah o aftab sab gawa hain
K hum ne kaya nahi saha
Sobto k darmiya
Hamaray sath ik yaqeen raha
Gawa ye zameen our zma rahy
Na aaj so gawar rahain
Na kal he joha khawan rahay
Shrar jo kal laho main thay
Wo aj bhi laho main hain
Hamaray khawab
Sans lay rahain hain aaj bhi
Koi diya bhuja nahi
K hum abhi thakay nahi
Our ik dadi se dosri talk
Safar main hain

Wo bay khabar na thay

Wo bay khabar na thay
Wo khawab jesay log thay
JO husan our ishq ki kitab
Likhtay likhtay so gaye
Hawao!
Tum to dekhti rahi ho
Tum kaho kaha kho gaye
Wo hum mian aj kiyn nahi
Jo wadi jmal se
Khili hathiliyon barhna sir chaly gaye
Wo bay hunar na thay
Tamam bastiyan gawa hain
Tamam wadiyan gawa hain
Jo tishnagi ki dhoop main jhulas gaye
Jo andhiyon main masal e kharo khas gaye
Shajar thay our bay samar na thay
JO pathar talay kuchal gaye
Jo huslay sayoboto main dhal gaye
Jo aman our Ashti ki awaz main mar gaye
Guzar gaye
Wo bay bsar na thay
Wo zindgi kay tarjuman thay
Our bay khbar na thay

Wo jo jalwo oot chupa hai

Wo jo jalwo oot chupa hai
Dor basa our hath raha hai

Ujli dhoop ghana saya hai
Dil main kis k chah nahi hai

Is sagar ki tha nahi hai
Mainto bus itna he jano

Jab bhi is ka nam liya hai
Isi ne bhar kar tham liya hai

Geet mereay ahank us ka hai
Chizi meri rang us ka hai

Un jani man as ka hai
Meray sung to sung us ka hai

Aik diye ki lo se main ne
Jhagmag kali ratain ki hai

Pichaly pahr ky sanato ne
A kar us ki batain ki hain

Zikar un ka abhi ho b na paya hai zuban se

Zikar un ka abhi ho b na paya hai zuban se
Dil main ye ujalay utar aye hain kaha se

Loh sans b ahista khe ye jaye adab hai
Tahrir karo isame Nabhi hadiya jan se

Kirnain c jhatal jayen isi hazrao dil main
Tum is ko pukaro to hazor dil o jan se

Har dor ki umed hain har ahar ka pyma
Pahchan hai un ki na zamen se na zama se

Hamad

Hamad


Tan day Raba
Sir mera tay
Chatri apni rahmat di
Jidar jawan
Rahmat teri
Saya ban k
Har pal meray nal raway

Naat e Rasole maqbool (S A W)

Naat e Rasole maqbool (S A W)

Inj na payan asmana tay
Lakhan chan sitaray nay
Tere paron dharti walay
Mur wi arsho bharay nay

Husain ibne Ali razi Allah anha

Husain ibne Ali razi Allah anha
Jiwan jogay
Marday hoye islam no
Apna jiwan day gaye
Hashar dayary tikar
Zinda kar chadaya

Ik masalsal terigi main roshni ka silsila

Ik masalsal terigi main roshni ka silsila
Teray jesa kab hai koi dosra tere siwa

Phonk day phir roh koi, koi taza walwla
Buj raha hai phir Khudaya aas ka jalta diya

Main k apni jan ka dushman howa hon ap he
Doniya wari k banwar main ja raha hon dobta

Thak gaya hon ab musalsal rat din chaltay hoye
Ab to koi sorat e manzil ho peda ay Khuda

Je karda ay

Je karda ay
sariya fikran walay rolay
Saray maslay bal dawan
was nai chalda mera
Nai tay waqat di gardash tal dawan
Qasmain mera was jay chalay
Dharti day sab loka no
Gham day ik ik pal day badlay
Khushiyan so so sal dayan

Mathay utay akhan rakh k

Mathay utay akhan rakh k
Garaz sjai phirday nay
Garza waly be sharmi di
Had mukai phirday nay
Ais to wada hor zulm ki
Karna ay insana nay
Aman day na tay ais dharti da
Amno najai janday nay
Hadon wad aytbar day maray
Ay pagal tay jhalay lok
Har maslay har soch no ashar
Khed bnai phirday nay

Agar to sath chal parta safar asan ho jata

Agar to sath chal parta safar asan ho jata
Khushi se umar bhar jinay ka saman ho jata

Na ja kar kiyn jatata hai jo jana tha chala jata
Buhat hota to ye hota k main heran ho jata

Jo meri simat to do gam bhi hans kar chala ata
Main teray liye our to meray liye eman ho jata

Khushi se muj pay kaya janay guzar jani thi phir hamid
Ghari pal ko bhi to muj per jo kuch qurban ho jata

Bharak utha hai alao tumhari furqat ka

Bharak utha hai alao tumhari furqat ka
Nahi hai tum pay asar phir b kiyn muhabat ka

Mani hi to nahi kaya badal gaye is k
Wafa ka na jo detay ho tum aziyat ka

Tum he batao meray gay our kese tum
Elan ejz b nikla nahi raonat ka

Kisi ko pa liya tum ne to chor kar mujhko
Koi ilaj to kar do meri b hasart ka

Diye k loh se na jal jaye tayrgi shab ki

Diye k loh se na jal jaye tayrgi shab ki
K din ki qadar ka bayes hai har ghari shab ki

Jo dil kharash hain kuch lamhay din k lamhon main
To dil froz bhi hain sayetain kai shab ki

Kahan k khawab meray our kahan ki taberain
Mujay to sonay na day ab sahar giri shab ki

Jo wo nahi hai to kuch b nahi hai phir hamid
Abas hain chand k bin ronkain sabi shab ki

Khush bakhat hain azad hain jo apnay sukhan main

Khush bakhat hain azad hain jo apnay sukhan main
Khush bakhat hain jo qaid hain nayki k chalan main

Is ankh ne kaya hota hoya dekh liya hai
Bhonchal sa pharpa hai ajab meray badan main

Jo kam karo jab b karo doob k us main
Har aik tayhar hai jano zad lagan main

Khamz to kuch hota hai adat ka chahra
Soraj ka tasawor b hota hai kiran main

Khushi k waqat bhi tum ko malal kesa hai

Khushi k waqat bhi tum ko malal kesa hai
Uroj e husm main noqs e kamal kesa hai

Jo aik dojay ko chahain to kiyn na apna lain
Ye dil se poch k batla khayal kesa hai

Nahi jo aanay k sub un k rah taktay hain
Ye intzar ka sehrish wabal kesa hai

Hai jis k sath joray aik hazar aik khadshay
Wo hijar kesa hai hamad wisal kesa hai

Kaya kaya dharay ajobay hain shahar e khayal main

Kaya kaya dharay ajobay hain shahar e khayal main
Betay khushi se din to katay shab malal main

Shayed k shab ki tah main hai soraj chopa hoya
Shab lag rahi khoi c din k jamal main

Koi karay na ghor to us ka qasor hai
Ik ik jawab warna hai ik ik sawal main

Kuch milta julta akas byhatu to hai magar
Kab ho ba ho samaya hai koi misal main

Sham se milnay gaya to rat ne dahra liya

Sham se milnay gaya to rat ne dahra liya
Jany kese chand ne soraj ko bhi behka liya

Hum ne chup kiya sadh li har shakas ki bat per
Phir howa jitna bhi jis se us ne bus tarpa liya

Mana ik uljay hoye rashm sa hum main rabat tha
Sub sulaj paya na tha to our kiyn uljha liya

Kuch ne li hai hukmarani our walayet kuch ne li
Hum ne hamad tum ko panay wala bus kasa liya

Bujnay lagi ye ankh rah khawab kahan

Bujnay lagi ye ankh rah khawab kahan
Wo kis gali main dil e b tab hai kahan

Alam hai koi our yan main bad hawas hon
Wo log kaya hoye mera asbab hai kahan

Hum ko to aik lahar ne rasta nahi diya
Ye bahary ishq janye payab hai kahan

Sonay lagi hai chashmay tamasha b akhrash
Khilta nahi wo Husnay jano tab hai kahan

Our rahna tha kaya fasla rah gaya

Our rahna tha kaya fasla rah gaya
Door tak main usay dekhta rah gaya

Kam yun to mukamal kiye hain sabhi
Zindgi main Khuda janay kaha rah gaya

So chuka tha tah khak main jis ghari
Meray andar koi jagta rah gaya

La taluq rahay is taluq main hum
Our jam taluq thara rah gaya

Sub charagho ko bujna tha bujtay gaye
Ankh main aik jalta diya rah gaya
Ye jo hum sir teri chokhat se lagaye hoye hain
Yahi samjho k zamany k staye hoye hain

Hum ne is dil ko kahin our lagaya hoya hai
Our ye hath kahin our othaye hoye hain

Tujay dekho to mujay yad ye kon ata hai
To ne ye rang bhala kis k charaye hoye hain

Car duniya ne hamain muhlat yak khawab na di
So kahain khoye hoye hain kahin paye hoye hain

Kis liye yad dilatay ho abhi rahanay do
Kaya hoye hum jo koi bat bhulaye hoye hain

Hum he ghosh bhar awaz nahi thay warna
Hum ne pahlay bhi yahi geet sunaye hoye hain

Our kab tak baham rahain gay yahan

Our kab tak baham rahain gay yahan
To rahay ga yan hum rahain gay yahan

Rah ro door ja chukay hon gay
Rah k pecho kham rahain gay yahan

Hum yahan hon gay yan nahi
Us ke litfo karam rahain gay yahan

Dil main teri mahak utarny tak
Hum to khawab adam rahain gay yahan

Teri mati bikhar chuaki ho gi
Teray nakshay kadam rahain gay yahan

Abhi us ki ankh ka ishara nahi
Hum abhi koi dam rahain gay yahan

Tere mahman hoye kharab hoye
Phir jo aye to kum rahain gay yahan

Friday, January 29, 2010

Us ko bahon main chupa kar payar ki batain karon

Us ko bahon main chupa kar payar ki batain karon
Band honto pay sajay iqrar ki batain karon

Jis k ankhon main sitaray our honto pay gulab
Wo mujay mahbob hai us yar ki batain karon

Rozo shab bus aik meri yad main simta hoya
Is sarapa naz ki ghul nar ki batain karon

Wo agar rothain to dil k dharaknay bay rabat hon
Muskura day to bus main payar ki batain karo

Ab kabhi fursat milay to us ki bahon main liye
Main zamanay se qamar us yar ki batain karon

Udas ratain hain khawab saray ujar chukay

Udas ratain hain khawab saray ujar chukay
Hai ankh wira k sub nazaray ujar chukay

Mari zamin pay gulo k chahray jhulas gaye hain
Maray falak k wo chand taray ujar chukay hain

Jo maray anso shumar karay jo payar kartay
Wafa k pakar sabhi saharay ujhar chukay hain

Tumhari shokhi gaye dino ka hisab mangay
Tumhain khaba hai k gham k maray ujhar chukay hain

Jo bhed seno main thay kabhi bay aman hoye hain
Jo raz hamaray honto pay thay ujar gayr hain

Ye waqat bhi kha gaya hai kitni mubato ko
Qamar jawan thay jo yar saray ujhar chukay hain

Tum na janay is ko b bay asar likhatay rahay

Tum na janay is ko b bay asar likhatay rahay
Hum kahani jo payar ki umer phar likhatay rahay

Apnay kanday pay rakhay aghawar ki fikaro nazar
Zindgi ki bol ko apna safar likhatay rahay

Bay zamiri bay asoli bech kar afkar
Siday logo k liye is ko hunar likhatay rahay

Mosmo ka jabar b jin se na ruk paya kabhi
Kaya makan thay jin ko hum diwaro dar likhatay rahay

Wo musafar thay unhian darkar tha sawa faqat
Jo hamaray har shajar ko bay samar likhtay rahay

Aag barsata raha soraj hamaray jism par
Chandni k dastan qamar phir b likhatay rahay

Teri chokhat pay sar rakh kar jo mar jatay to acha tha

Teri chokhat pay sar rakh kar jo mar jatay to acha tha
Hum apnay payar main hud se guzar jatay to acha tha

Bicharnay se pahlay bahak jata jono mera
Meray pahlo main wo gaso bikhar jatay to acha tha

Humain rasmo riwajo se nahi tha wasta rakhna
Hum apnay dil ki dunya main utar jatay to acha tha

Muhabat main jo guzray hain wohi do pal he hamaray thay
Wo he do pal hamaisha ko dahar jatay to acha tha

Payamay shoq jo mera liye phirtay thay awara
Kabotar wo teri chat pay utar jatay to acha tha

Qamar is bay mahar duniya main jina kesa jena hai
Hum apny ishq main jal kar nikhar jatay to acha tha

Is se pahaly k anso muqadar banain

Is se pahaly k anso muqadar banain
Is se pahaly k koi sitam tor day

A isi mor pay muskuraye hoye
Main tujay chor don tu mujay chor day


Is se pahaly k wiran ho zindgi
Is se pahaly k ahain banay a balay

Kiyn na rakh lain muhabat ka hum tum pharam
Main bi zid chor don tu b qasam tor day

A isi mor pay muskuraye hoye
Main tujay chor don tu mujay chor day

Rastay meray qadmon main liptay rahay

Rastay meray qadmon main liptay rahay
Teray kochay ka manzar hichkta raha

Teri tnahayan b bhulati rahin
Teray shahray dafa se nikal he gaya

Main andaray k dhandhay safar ki taraha
Ab tamazat se ahsas jalnay laga

Dard sa phar gaya meri soch main
Ashaq bay chaniyn main simtnay laga

Teray shahray dafa se nikal kar mujay
Kha gai doriyan bamo dar ki taraha

Muhabto kay nasab jesa

Muhabto kay nasab jesa
Wo aik chahra kitab jesa

Mahka hai maray qalbo jan main
Wo shakas khilaty ghulab jesa

Yaqeen b hai wo maray dil ka
Guman b hai sarab jesa

Main socho us ko to tot jaye
Khawab nazuk habab jesa

Wo bansuri hai jo hont rakhon
JO dekhon cho k rabab jesa

Dhanak k rangon main wo chupa hai
Nigan baran main khawab jesa

Main us k agay na dekh paon
Wo ik sarapa naqab jesa

Qamar gunah hai yahan muhabat
Mujay gunah ye sawab jesa

Koi balandi pa k pasti main utar jata hon

Koi balandi pa k pasti main utar jata hon
Kis liye ahsas ki had se ghuzar jata hon

Doob jaye gi to apnay anso main soch lay
Chor kar ay zindgi tuj ko agar jata hon main

Zakham bay andaz hain phir b dhahar shaharay talab
Anay wali kal ki khatir phir sanwar jata hon main

Khanchta hon sans main sansan raton ki khalash
Our din k dard main har so bikhar jata hon main

Chikhtay lamho k anso apnay daman main liye
Muj pay ye ilzam hai k apnay ghar jata hon main

Is qadar khamosh kati hai sazaye zindgi
Ab to kaliyo k chatkhnay se phir dar jata hon main

Kon janay kon c manzil banay manzil meri
Ata hon kidar se our jato hon kida main

Bhed ly k raat ki tarikon k ay qamar
Chupkay chupkay din ki Basti se guzar jato hon main

Dogam gar chalo gay kisi ajnabi k sath

Dogam gar chalo gay kisi ajnabi k sath
Ilzam b milay tumhain dosti k sath

Pahray laga k ishq pay zahaty safar diya
Tha ye b ik mazak meri rahwari k sath

Waiz ko meri tarz e ibadat pay aytraz
Shartain wo bandta hai meri bandgi k sath

Kaya waqat a parha hai muhabat main dosto
Rasmain wafa nibhatay hain sharmingi k sath

Khoro haras phela tha is darja her taraf
Dekha hai zindgi ko sara semgi k sath

Chalta rah main tera taswar liye hoye
Maine safar kiya hai isi roshni k sath

Main sada loh hotay hoye b tha hosh mand
Kuch aqal b rahi hai meri sadgi k sath

Lota gaya hai jab qamar teray shahar main
Banti hai is ki khob ab awargi k sath

Aaj royen hain tanha bari dair tak

Aaj royen hain tanha bari dair tak
Kal in ankhon main pani rahay na rahay

Kaya khabar ap loutain to main na rahon
Maray gham ki kahani rahay na rahay

Waqat to aik rut hai badal jaye ga
Aaj ka din na phir lout kar aye ga

Aaj ki chand ghariyan meray pass hain
Kal talak zindgani rahay na rahay

Abhi tota hai ik tara to shayed lout kar aye

Abhi tota hai ik tara to shayed lout kar aye
Saba rakha hai ghar sara to shyed lout kar aye

Bajiz khamoshiyon tanhaiyon k kuch nahi baqi
Nazat phir bhi hai awara to shayed lout kar aye

Musafir lout kar atay nahi hain rah manzil pay
Main umeedo ka banjara to shayed lout kar aye

Isay rahti hai bay chyni k jald a jaye wo lamaha
Main dekho phir wo nazara to shayed lout kar aye

Towaqoat ka aik silsila dar silsila sochain
Wo aye woqat dobara to shayed lout kar aye

Buja hai ishq main jhal kar faqat ab rakh baqi hai
Qamar tera ye bechara to shayed lout kar aye

Ye zindgi kisi gongay ka khawab hai beta

Ye zindgi kisi gongay ka khawab hai beta
Sambhal kar chalna k rasta kharab hai beta

Hamara naam likha hai poranay qilo per
Magar hamara muqadar kharab hai beta


Guna karna kisi bay guna ki khatar
Meri niga main karay sawab hai beta

Ab our tash k pato ki sirio pay na char
K is agay Khuda ka azab hai beta

Hamary sahan ki mahndi pay hai nazar uski
Zimindar ki niyat kharab hai beta

Zindgi phar door rahny ki sazahyen rah gaiyn

Zindgi phar door rahny ki sazahyen rah gaiyn
Maray kesa main meri sari wafayn rah gaiyn

Nojawan beto ko shahro k tamashay ly urhay
Gaon ki jholi main kuch majbor mayen rah gaiyn

buj gaya wahshi kabotar ki hawas ka garam khon
Naram bistar per tarpti fakhtayen rah gaiyn

Aik aik kar hoye rukhsat meray kumbay k log
Gar k sanatay se takrati howayein rah gaiyn

Bada khanay shayeri Naghmay latifay rat jagay
Ab apnay hisay main yahi dasi dawayein rah gaiyn

Wednesday, January 27, 2010

Samandar par hoti ja rahi hai

Samandar par hoti ja rahi hai
Doya parwar hoti ja rahi hai

Darichay ab khulay milnay lgay hain
Fiza humwar hoti ja rahi hai

Kai din se meray andar ki masjid
Khuda bay zar hoti ja rahi hai

Masayal Jang khushbo rang mosam
Ghazal akhbar hoti ja rahi hai

Buhat kanto bhari duniya hain lakin
Galay ka haar hoti ja rahi hai

Kati jati hain sanson ki patangain
Haya talwar hoti ja rahi hai

Koi ghumbad hai darwazay k pichay
Sada bay kar hot ja rahi hai

Galay kuch dost a kar mil rahay hain
Churi par dhar hoti ja rahi hai

Wo aik aik baat pay ronay laga tha

Wo aik aik baat pay ronay laga tha
Samandar abro khonay laga tha

Lagay rahatay sub darwazay phir b
Main ankhain khol kr sonay lga tha

Chorata hon ab ankhain ayino se
Khuda ka samana honay laga tha

Wo ab ayinay dhota phir raha hai
Usay chehro pay shak honay laga hai

Mujay ab dekh kar hunsti hai duniya
Main sub k samnay ronay laga hon

Rishto ki dhoop chaio se azad ho gaye

Rishto ki dhoop chaio se azad ho gaye
Ab to hamain b saray sabaq yad ho gaye

Abadiyo main hotay hain barbad kitnay log
Hum dekhnay gaye to barbad ho gaye

Main parbto se larta raha our chand log
Gili zamin khod kr barhad ho gaye

Bethay hoye hain qimti sofon pay beriye
Jangal k log shahar main abad ho gaye

Lafzo k hair phair ka dhanda bh khoob hai
Jahal hamaray shahar main ustad ho gaye

Sub hunar apni burai main dikhai dain gay

Sub hunar apni burai main dikhai dain gay
Ayb to bus meray bhai main dikhai dain gay

Us ki ankhon main nazar ayen gay itnay soraj
Jesay pevand razai main dikhai dain gay

Hum nay apni kai sadiyan yahi dafnai hain
Hum zameeno ki khudai main dikhai dain gay

Zikar rishto k tahfoz ka niklay ga to hum
Rafpoto ki kalai main dikhai dain gay

Our kuch roz hai jhilo pay sulgti hai rait
Sabar manzar bhi julai main dikhai dain gay

Kahan wo khayab mahal taj dariyo walay

Kahan wo khayab mahal taj dariyo walay
Kaha ye belcho walay tagariwon walay

Kabi machan se nechay utar k baat karo
Buhar poranay hain qisay shikariyon k

Mujay khabar hai k main saltanat ka malik hon
Magar badan pay hain kapray bhikariyo walay

Ghareep qasbon main akasar dikhai detay hain
Naye shawaly porany pajariyo walay

Adab kaha ka k har raat dekhta hon main
Mushayre main tamashy mudariyo walay

Meri bahar meray ghar k pholdan main hai
Khilay hain phol hari pili dhariyo walay

Mohala sayen saye kar raha hai

Mohala sayen saye kar raha hai
Meray anda ka insan mar raha hai

Jami hai soch k anda qadmo k chahain
Na janay kon picha kar raha hai

Main akasar badlo ko dekhta hon
Koi borha ibadat kar raha hai

Ab is ki thokro main taj hoga
Wo sar uper nagay sir raha hai

Dil apnay gham rasida parahn main
Ameda ka kashida bhar raha hai

Meray sinay se guzri rail ghari
Judai ka ajab manzar raha hai

Barha tajar bana phirata hai soraj
Meray khoyabo ka soda kar raha hai

Ho fursat to hamaray dukh b bantay
Zara dekho Khuda kaya kar raha hai

Ghar se soch k nikla hon k mar jana hai

Ghar se soch k nikla hon k mar jana hai
Ab koi rah dikha day k kidar jana hai

Jism se sath nibhany ki mat umeed rakho
Is musafir ko to rastay main dahar jana hai

Mout lamhay ki sada zindgi umaro ki pukar
Main yahi soch k zinda hon k mar jana hai

Nasha aysa tha k maykhanay ko duniya samaja
Hosh aya to khayal aya k ghar jana hai

Meray jazbay ki bari qadar hai logo ko magar
Meray jazbay ko meray sath he mar jana hai

Jab main duniya k liye bech k gar aya tha

Jab main duniya k liye bech k gar aya tha
Un dino b mere hisay main safar aya tha

Khirkiya banad na hoti to jhulas he jata
Aaj ogalta hoya soraj mere ghar aya tha

Aaj sarkon pay tasveer banatay rahiye
Unkgiliya tot chuki jab ye hunar aya tha

Jo b hota hai sadiyo main munawar ik bar
Wo diya muj ko kayi bar nazar aya tha

Loog peple k darkhto ko khuda kahnay lgay
Main zara dhoop se bachnay ko idar aya tha

Tuesday, January 26, 2010

Ajnabi khawahshain senay main daba bhi na skon
aysay zidao hain prinday k ura bhi na skon
Phonk dalo ga kisi roz main dil ki doniya
Ye tera khut to nahi hai k jala bhi na skon

Chamaktay lafaz sitaro se cheen laye hain

Chamaktay lafaz sitaro se cheen laye hain
Hum asma se ghuzal ki zameen laye hain

Wo our hon gay jo khanjar phupa k laye hain
Humapnay sath phati asteen laye hain

Hamari baat ki gahrai khak samjhain gay
Jo per boto k liye khordbeen laye hain

Hanso na hum pay k hum bad naseeb banjaray
Saroo pay rakh kar watan ki zameen laye hain

Meray kabilay k bacho k khel bhi hai ajeeb
Kisi sapahi ki talwar cheen laye hain

Zameen ki chat per para asman hon tanha

Zameen ki chat per para asman hon tanha
Amarto main khra ik makan hon tanha

Adoray chand ki sorat dida akas bhi hon
Main khndar bhi bikhrta nishan hon tanha

Kabi main raat ki ujri dukan hon tanha
Main munqsam hon agrcha ghari ki soyon main

Magar zameen pay dhehra zaman hon tanha
Aik aik kar k muafar tamam door hoye

Magar main ab bhi khara sayeban hon tanha
Doron ab subhi kuch hoya hai jis ka ghreek

Nadi main terta wo badban hon tanha
Koi dharka hoya bom daba hai muj main our

Kisi bhi lamha bhikhrti chatan hon tanha
Na janay kon kahan kub urh k lay jaye

Sada ki lahar pay likha bayan hon tanha
Maqaam Ibrat duniya agar nahi main ali

To kiyn Phir us k he jesa guma hon tanha

Misal umar khabar no jab zindgi rah jaye gi

Misal umar khabar no jab zindgi rah jaye gi
Sikhna mazmon main phir tishngi rah jaye gi

Baki sari shan se rasmain ada honay k bad
Kaya khabar thi bus yahi ik rukhsti ro jaye gi

pahlay pahlay phon ho gaye khut bhi likhay jayen gay
Phir braye naam se bus dosti rah jaye gi

Aik lamhay main sabhi kuch rond dala jaye ga
Our wo chashm e waqat sub kuch rah jaye gi

Qafila to ja chuka ho ga our us ko phir hawa
Rakh k khusta khundar main dundti rah jaye gi

Wo mera ho k bhi meray sath na chak paye ga
Umer k baqi safar main ye kami rah jaye gi

Borhay ho k saray pashay khak main mil jain gay
Shakh per bus aik nani c kali rah jaye gi

Kaya koi ab k bhi bacha chin kr lay jaye ga
Our maan gari k pichay bhagti jaye gi

Main galay kesay lgata chand ko apnay Ali
Jab khabar thi bad main tergi rah jaye gi

Pata tabdil hota ja raha hai

Pata tabdil hota ja raha hai
Har inch aik mile hota ja raha hai

Gharoom shamas ka manzar hai jesay
Samandar jheel hota ja raha hai

Jesay Samjhay thay mahmal pahalay pahalay
Wo khar ab keel hota ja raha hai

Kitabo main alif se ye talak sub
Barabar sale hota ja raha hai

Ye dil ab chotay chotay hadso se
Mukamal neel hota ja raha hai

Ali wo shakhas nila to nahi hai
Magar ab neel hota ja raha hai

Nahi hon main kisi ka b nahi hon

Nahi hon main kisi ka b nahi hon
Agar khud apnay jesa bhi nahi hon

Kahi aysay bhi din atay hain muj per
K khud ko milnay jata bhi nahi hon

Main logo se buhat darta hon lakin
Jo Rub hai Us se darta bhi nahi ho

Buhat he dukh howa ye jaan kar aaj
K main to apnay jesa bhi nahi hon

Nikalta hai na koi kaam apna
Kisi k kaam ata bhi nahi hon

Main apni hud main rahta hon hamaisha
Phir us had se niklta bhi nahi hon

Buhat masoom lgta hon bazahar
Magar us ka main saya bhi nahi hon

Bicha deta main khud ko un ki khatir
Magar hai dukh k rasta bhi nahi hon

Jahan peshani pay kuch harf aye
Main aysay dar pay jalakta bhi nahi hon

Kisi Hati pay chal jaye jo ik din
Main aysa khuta sika bhi nahi hon

Ali main kaya hon k har roz khud se
Jo kehta hon wo karta bhi nahi hon

Main sehar naghaha main khu gaya tha

Main sehar naghaha main khu gaya tha
Zara si dair pagal ho gaya tha

Kahani main nasihat bhi thi lakin
Wo bacha suntay suntay so gaya tha

Smandar janta hai us se pocho
Hawa main kon anso bo gaya tha

Smandar asman ki parivi main
Ufaq tak ja k ik khata ho gaya tha

Lub sahal main akasar sochta hon
Ali wo kis bhanwar main kho gaya tha

JO bhi jhuta tha wohi Khuwab dikhaya khud ko

JO bhi jhuta tha wohi Khuwab dikhaya khud ko
Bar ha main nay banaya tha tmasha khud ko

Jo na maloom tha pahlay usay maloom kiya
Phir buhat dair talk ghum main jhalaya khud ko

Koi bay mool smjhtay lay jaye ga
Isi dhum main pas bazar sajaya khud ko
Mujay maloom hai
Mujay main bhi kai Khamiyan hain
Kabhi smjha bhi nahi main nay Khuda sa khud ko

Koi pochay ga to bata don ga

Koi pochay ga to bata don ga
Hall kesa hai sub suna don ga

Mudato main likha hoya jiwan
Aik he sanas main mita don ga

Itna kum faham to nahi phir bhi
Aap ko dawata bna don ga

Log pochain gay majra kaya hai
Is Qadar khud ko main gira don ga

Ab k so chahay jo wo aye ali
Samnay ho bhi to bhula don ga

Dar dar khod ko you na rolo

Dar dar khod ko you na rolo
Kabi to chanad ankain kholo

Sub royen to dm ghut ta hai
sub tanha ho k re lo

Shab k tary ghinti our tum
Din nkla hai kuch to so so

Janay kon sa pathar niklay
Bin sochay tum lafaz na bolo

Maan to akhir maan hoti hai
Us k baray sooch k bolo

Ali samandr to gum sum hai
Abhi zara sa tum he dadolo

Monday, January 25, 2010

Doa b deta hai or badoa b deta hai

Doa b deta hai or badoa b deta hai
Wo kon hai jo mujay yon saza c deta hai

Main apna ap se mukhlis to hon magar koi
Dron e zat mujay badoa c deta hai

Baja k abar nishani hai us ki rahamat ki
Magar kabhi kabhi wo yun saza b deta hai

Yun kehna aam hoya her guna k bad ali
K seda rasta akhir wo dikha he deta hai

Agar kuch rabta bahar se banta ja raha hai

Agar kuch rabta bahar se banta ja raha hai
Khala andar ka bhi to our barhta ja raha hai

NA janay kis jaga ja kar rukay ga silsila ye
Buhat se Angano main sahan banta ja raha hai

Hamary pass ghar bhi hai our us k sub mken bhi
Magar jiwan k rahon per he kat ta ja raha hai

Is mati main akhir aik din ye dafan ho ga
Is mati se is tan ko bachaya ja raha hai

Na janay kis jaga per muj ko shehzadi milay gi
Abi tak to balao se he pala ja raha hai

Ali is jism k mazbos ghar ko kaya karo main
Agar ye jism bunyado se girta ja raha hai



Bikhraty rango jesa ho gaya hon ye sochta hon

Bikhraty rango jesa ho gaya hon ye sochta hon
Main kaya tha our ab kaya ho gaya ho ye sochta hon

NA janay kis ka badla ly gai hain hawain muj se
K bus ik zard pta ho gaya hon ye sochta hon

Khud apnay aap ko payara nahi jb kabi laga main
To kesey tum ko payara ho gaya hon main ye sochta hon

Meray sub jananay walay thay jo pichay rah gaye hain
Our un ka main hawala ho gaya hon ye sochta hon

Meri socho ki benai main shidat c a gai hai
Ali shayed main borha ho gaya ho ye sochta hon

Zindgi sagi buhat mahfoz maykhany mian hai

Zindgi sagi buhat mahfoz maykhany mian hai
Kuch teri ankhon main hai kuch meray paymany main hai

Pi bhi lay ay pair sad salah zara c pi bhi lay
May nahi zahid jawani meray paymanay main hai

Kon c janat ka waiz kar raha hai zikar to?
Aysi ik janat to hum rando k maykhany main hai

Us se pocho jis ki umeedo pay pani phir gaya
Kaya maza munh dekh kr khamosh rahnay main

May kasho ki janat dozakh hain ay waiz yahi
Aik maykhanay k bahar aik maykhanay main hai

Arzo shayed koi dam torti hai ay khummar
Dhundli dhundli kuch chamak dil k saya khanay main hai


Waqif nahi ho tum apni nigaho k asar se

Waqif nahi ho tum apni nigaho k asar se
Is raz ko pocho kisi barbad nazar se

Ik ashk nkl aya hai yon dyda tar se
Jis taraha janaza koi niklay bhray ghr se

Rag rag main ewaz Khon k may dor rahi hai
Wo dekh rahay hain mujay makhmor nazar se

Is tarah se basar hotay hain din rat hamaray
Ik taza bala i jo ik tal gai sir se

Sahara ko buhat naz hai wirani pay apni
waqif nahi shayed mere ujray hoye ghar se

Mil jaye abad se mere Allah ye lamhay
Wo dekh rahay haim mujay manoos nazar se

jaye to kaha jaye kharay soch rahay hain
Uthany ko khummar uth to gaye hum kisi dar se

Wo hain pas our yad anay lagay hain

Wo hain pas our yad anay lagay hain
Muhabat k hosh ab dikhanay lagay hain

Suna hai hamian wo bhula ne lagay hain
To kaya hum unhain yad anay lagay hain

Hataye thay jo rah se dosto k
Wo pathar mere ghar main anay lagay hain

Wo pathar mujay yad anay lagay hain
Jinhain bolanay main zamanay lagay hain

Ye kehana tha un se muhabat hai muj ko
Ye kehanay main muj ko zamanay lagay hain

Qayamat yaqinan qareeb aa gai hai
Khumar ab to masjid main janay lagay hain

Muj ko shikast dil ka maza yad a gaya

Muj ko shikast dil ka maza yad a gaya
Tum kiyn udas ho gaye kaya yad a gaya

Kahnay ko zindgi thi buhat mukhtsar magar
Kuch yon basar hoi k Khuda yad a gaya

Waiz salam ly k chala maykaday main
Firsos gumshuda ka pata yad a gaya

Barsay baghair he jo ghata ghir k khul gai
Ik Bay wafa ka ahad e wafa ayad a gaya

You chonk uthay wo sun k mera shiqwa faraq
Jaysay unahain b koi gila yad a gaya

Mangay gay ab doa k usay bol jain hum
Lakin jo wo bawaqat doa yad a gaya

Hairat tum ko dakh k masjid main a khumar
Kaya baat ho gai jo khuda yad a gaya

Ilahi! trak muhabt na ras aye mujay

Ilahi! trak muhabt na ras aye mujay
Gareeb dil se baghawat na ras aye mujay

Kahin unhian b trbna prhay na meray liye
Khuda kray k muhabat na ras aye mujhay

Giri jo brq musrt to ghum ki kadar hoi
Main kah utha k musrt na ras aye mujay

Trap trap k ba mushkil unhain bulaya hai
Maza to jab hai ye zahamat na ras aye mujay

Teri niga anayet k main nasar magar
Teri niga anayet na ras aye mujay

Sahay na jayen gay un ki nadamto k sitam
Ilahi jurme shiqayt na ras aye mujay

Jo dosro k ghamo se bna day beghana
Khumar aysi musart na ras aye mujay

Jabin ishq main asara danay walay

Jabin ishq main asara danay walay
Mujy berh main rasto danay walay

Karam jabar halat kal hai ye warna
Baray ba wafa thay dagha daynay walay

Meri tarah do din to g k dikhain
Meri may kashi ko hawa danay walay

Ab ik ik se khud he dawa pochtay hain
Mujy dard dil ki dawa daynay walay

Bashar tha main kese na krta khatayen
Sambal k saza o jaza daynay walay

Muhabat nahi ye to phir our kaya hai
Khafa ho k o muskura daynay walay

Maro or dar per to bad zan na hona
Mujay apny dar se utha daynay walay

Meri zindgi he to mera farz hai
Mujay zahar day day dawa daynay walay
Rahmato ko bula daynay walay

Khumar our tark may naam toba
Salamt rahain mashwara daynay walay

Junjlaye hain lajay hain phir muskuraye hain

Junjlaye hain lajay hain phir muskuraye hain
Kis ahtmam se unhain hum yad aye hain

Dair o harm k jis kado k staye hain
Ab ja k aao krny k adab aye hain

Duniya smaj rahi hai k dum muskraye hain
Guzray hain mykday se jo toba ky bad hum

Kuch door adatan bhi kadam dagmgaye hain
Ay josh graya dekh na krna mujal mujay

Ankhain meri zarar hain anso praye hain
Ay mout ay bahash e skon khush amdid

Hum zindgi main pahlay pahlay muskraye hain
Jitni bhi makday main hai saqi pila day aj

Hum tishana kam zuhad k sahra se aye hain
Insan jitay ji kray toba khaton se

Mujboryo ne kitne farishtay bnaye hain
Smjhaty qabal ishq to mumkin tha banti baat
Nasakh garib ab hamain smjanay aye hain

Kabay main kheriat hain na sub hazat khumar
Ye dair hai janab yaha kese aye hain


Ishq khuda ki dain hai ishq se mun na muriye

Ishq khuda ki dain hai ishq se mun na muriye
Choriye zindgi ka sath dil ka na sath choriye

Apnay kaha k gher ap ye janon choriye
Dard kahin ho dard dard se rishta joriye

Muj ko ye sochna pray ap mery hain yan nahi
Khof jaha magar ayse to mun na moriye

Sajday ka haq jo howa ada aik he sajda day maza
Wasay khushi hai ap ki sar shabo roz phoriye

Saya e iltfat main ishq ki ankh lag na jaye
Ho k khafa kabi kabi dil ko mere janjoriye

Main hun bura muje kabol phir b nuhtasab
Mere mamlat ko mere Khuda per chorye

Ishq hai kitan ja nafza bad main ho ga fesala
Pahlay to hazart khumar daman tar nachoriye

Jab kabi muj ko gham dahar ne na shad kiya

Jab kabi muj ko gham dahar ne na shad kiya
Ay gham dost tujay mainy buhat yad kiya

Ashq bah bah kr meray khak per jab girnay lgay
Main ne tuj ko tere daman ko buham yad kiya

Qaid rkha mujay sayad ny kah kah kah yahi
Abi azad kiya bus abi azad kiya

Haye wo dil mujay is dil pay taras ata hai
To ne barbad kiya jis ko na abad kiya

Tuj ko barbad to hona bahar hal khumar
Naz k naz us ne tujay barbad kiya

Ik shula sa gira shishay se paymany main

Ik shula sa gira shishay se paymany main
Lo krn photi swera ho maykhany main

Kufro islam hum Aghosh hai maykhany main
Kaba Shishay main hai but khana hai paymany main

Kesi mbhot se bethay hain janab zahid
Jese pahalay he pahal aye hain maykhany main

To qayamat se drta hai humain ay waiz
Ati rahti hai shabo roz ye maykhany main

Mud bari ankhain ye saqi ki Ilahi toba
Our maykhany b abad main maykhany main

Simtay kaba kabi ja niklay kabi janbe dair
Aj pohanchay hain batkay hoye maykhany main

Jin ki tohid prasti ki shuhrat thi wo khumar
Aj masroof parstish thay sanam khanay main

Hum unhai wo hamain bula bethay

Hum unhai wo hamain bula bethay
Wo gunahgar zagar kha bethay

Hal e gham kah kar gham brhaye bethay
Tir maray they tir kha bethay

Andiyo! jao ab kro aaram!
Hum khud diya bujaye bethay

G to halka hoya magar yaro
Ro k hum lutfay ghum bula bethay

By saharo ka hosla he gaya
Ghar main ghubraye dar pay a bethay

Jab se buchary wo muskuraye na hum
Sub ne chera to lub bula bethay

Hum rahay mubtlaye dair o harm
Wo dabay paon dil main a bethay

Uth k ik by wafa ne day di jan
Rah gaye saray ba wafa bethay

Hashar ka din abi hai dor khumar
Ap kiyn zahado mein ja bethey

Bay karari gayi karar aa gaya

Bay karari gayi karar aa gaya
Tark ishq aor muj ko mar gaya

Wo jo aye to khushk ho gye ashq
Aj ghum ka bhi aytbar gaya

Hum na hans he skay na he ro skay
Wo gaye yan har ikhtyar gaya

Aap ki zid bay mahal se kleem
Sub ki nazro ka aytbar gaya

Aa gaye wo to ab ye rona hai
Lutfay ghum lutfay intzar gaya

Kis mazay se teray baghai khumar
By jiye zindgi kowar gaya

Darad be kaif ghum be maza ho gaya

Darad be kaif ghum be maza ho gaya
Ho na ho koi muj se khafa ho gaya

Bad tark talok ye kaya ho gaya
Rabt pahly se bhi kuch siwa ho gaya

Altfat msalsal bla ho gaya
Khud main gabra k un se khafa ho gaya

Ghum ne is taraha gin gin k bdlay liye
Muskurana b ik hadsa ho gaya

Dil ko tarak muhabat pay kaya kaya hai naz
Lakin un ka agar samana ho gaya

Zindgi ka ye alam hai tere baghair
Shakh se phol goya juda ho gaya

Our b ishq ki jan per ban gayi
Husn jab mubtlaye wafa ho gaya

Dil kuch istrah darka teri yad main
Main ye smja tera saman ho gaya

Ishq main jan b dy di maine khumar
Aj huq zindgi ka ada ho gaya

Ay mout tumhain bhulaye zamanay guzar gaye

Ay mout tumhain bhulaye zamanay guzar gaye
Aja k zahar khaye zamanay guzar gaye

O jany walay AA k tery intzar main
Rastay ko gar bnaye zamany guzar gaye

Gum hai na ab khushi hai na umeed hai na yaas
sub se nijat paye zamany guzar gaye

Kaya layk sitm bhi nahi ab main dosto
Pathar bhi gar main aye zamany guzar gaye

Janay bahar phol nahi admin hon
Aja k muskuraye zamany guzar gaye

Kaya kaya towaqoat thii aho se a khumar
Ye teri bhi chalaye zamany guzar gaye

Bitay dino ki yar bhlai nahi hai

Bitay dino ki yar bhlai nahi hai
Ye akhri chargh bnjhay nahi hai

Duniya ne jub mera nahi bnanay diya unhain
Pthar to ban gay wo praye nahi bnay

Toba kiye zamana howa lakin aaj tak
Jab sham ho to kuch b bnaye nahi bnay

Parday hazar Khnda e paham k daliye
Gham wo guna hai k chupaye nahi bnay

Ye nisf shub ye mekaday ka dariya mahtasab
Tokay koi to bat bnaye nahi bnay

Jatay to hain sanam kaday se hasart khumar
Lakin Khuda kray k bin aye nahi bnay

Ankhon k charagh main ujaly na rahain gay

Ankhon k charagh main ujaly na rahain gay
A jao k phir dekhny walay na rahain gay

Ja shok se lalik plat aany k liay ja
Hum dair tk apnay ke smbhaly na rahain gay

Ay zook safar kair ho nazdeek hai manzil
Sub kahtay hain ab paon main chalay na rahin gay

Jin nalon ki ho jaye gi ta dost rasai
Wo sanchay bn jain gay nalay na rahain gay

Shamain jo buji bujnay dy dil bujny na paye
Ye shaman hoi gul to ujaly na rahain gay

Kiyn ho zulmat ghum se ho khumar itny preshan
Badal ye hamaisha he to kalay na rahain gay


Saturday, January 23, 2010

Akele Hain aor woh Jhunhla Rahe Hain

Akele Hain woh aor jhunjhula Rahe Hain
Meri Yaad se jang farma rahe hain
Elahi Mere Dost hoon Khairyat se
Yeh kion main pathar nahi aa rahe hain
Bohat Khush hai Gustakhion par hamari