Ghar se soch k nikla hon k mar jana hai
Ab koi rah dikha day k kidar jana hai
Jism se sath nibhany ki mat umeed rakho
Is musafir ko to rastay main dahar jana hai
Mout lamhay ki sada zindgi umaro ki pukar
Main yahi soch k zinda hon k mar jana hai
Nasha aysa tha k maykhanay ko duniya samaja
Hosh aya to khayal aya k ghar jana hai
Meray jazbay ki bari qadar hai logo ko magar
Meray jazbay ko meray sath he mar jana hai
Wednesday, January 27, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment