Monday, January 25, 2010

Ik shula sa gira shishay se paymany main

Ik shula sa gira shishay se paymany main
Lo krn photi swera ho maykhany main

Kufro islam hum Aghosh hai maykhany main
Kaba Shishay main hai but khana hai paymany main

Kesi mbhot se bethay hain janab zahid
Jese pahalay he pahal aye hain maykhany main

To qayamat se drta hai humain ay waiz
Ati rahti hai shabo roz ye maykhany main

Mud bari ankhain ye saqi ki Ilahi toba
Our maykhany b abad main maykhany main

Simtay kaba kabi ja niklay kabi janbe dair
Aj pohanchay hain batkay hoye maykhany main

Jin ki tohid prasti ki shuhrat thi wo khumar
Aj masroof parstish thay sanam khanay main

No comments:

Post a Comment