Wednesday, January 27, 2010

Samandar par hoti ja rahi hai

Samandar par hoti ja rahi hai
Doya parwar hoti ja rahi hai

Darichay ab khulay milnay lgay hain
Fiza humwar hoti ja rahi hai

Kai din se meray andar ki masjid
Khuda bay zar hoti ja rahi hai

Masayal Jang khushbo rang mosam
Ghazal akhbar hoti ja rahi hai

Buhat kanto bhari duniya hain lakin
Galay ka haar hoti ja rahi hai

Kati jati hain sanson ki patangain
Haya talwar hoti ja rahi hai

Koi ghumbad hai darwazay k pichay
Sada bay kar hot ja rahi hai

Galay kuch dost a kar mil rahay hain
Churi par dhar hoti ja rahi hai

No comments:

Post a Comment