Zindgi phar door rahny ki sazahyen rah gaiyn
Maray kesa main meri sari wafayn rah gaiyn
Nojawan beto ko shahro k tamashay ly urhay
Gaon ki jholi main kuch majbor mayen rah gaiyn
buj gaya wahshi kabotar ki hawas ka garam khon
Naram bistar per tarpti fakhtayen rah gaiyn
Aik aik kar hoye rukhsat meray kumbay k log
Gar k sanatay se takrati howayein rah gaiyn
Bada khanay shayeri Naghmay latifay rat jagay
Ab apnay hisay main yahi dasi dawayein rah gaiyn
Friday, January 29, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment