Monday, January 25, 2010

Darad be kaif ghum be maza ho gaya

Darad be kaif ghum be maza ho gaya
Ho na ho koi muj se khafa ho gaya

Bad tark talok ye kaya ho gaya
Rabt pahly se bhi kuch siwa ho gaya

Altfat msalsal bla ho gaya
Khud main gabra k un se khafa ho gaya

Ghum ne is taraha gin gin k bdlay liye
Muskurana b ik hadsa ho gaya

Dil ko tarak muhabat pay kaya kaya hai naz
Lakin un ka agar samana ho gaya

Zindgi ka ye alam hai tere baghair
Shakh se phol goya juda ho gaya

Our b ishq ki jan per ban gayi
Husn jab mubtlaye wafa ho gaya

Dil kuch istrah darka teri yad main
Main ye smja tera saman ho gaya

Ishq main jan b dy di maine khumar
Aj huq zindgi ka ada ho gaya

No comments:

Post a Comment