Sunday, January 31, 2010

Kaya kaya dharay ajobay hain shahar e khayal main

Kaya kaya dharay ajobay hain shahar e khayal main
Betay khushi se din to katay shab malal main

Shayed k shab ki tah main hai soraj chopa hoya
Shab lag rahi khoi c din k jamal main

Koi karay na ghor to us ka qasor hai
Ik ik jawab warna hai ik ik sawal main

Kuch milta julta akas byhatu to hai magar
Kab ho ba ho samaya hai koi misal main

No comments:

Post a Comment