Udas ratain hain khawab saray ujar chukay
Hai ankh wira k sub nazaray ujar chukay
Mari zamin pay gulo k chahray jhulas gaye hain
Maray falak k wo chand taray ujar chukay hain
Jo maray anso shumar karay jo payar kartay
Wafa k pakar sabhi saharay ujhar chukay hain
Tumhari shokhi gaye dino ka hisab mangay
Tumhain khaba hai k gham k maray ujhar chukay hain
Jo bhed seno main thay kabhi bay aman hoye hain
Jo raz hamaray honto pay thay ujar gayr hain
Ye waqat bhi kha gaya hai kitni mubato ko
Qamar jawan thay jo yar saray ujhar chukay hain
Friday, January 29, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment