Friday, January 29, 2010

Us ko bahon main chupa kar payar ki batain karon

Us ko bahon main chupa kar payar ki batain karon
Band honto pay sajay iqrar ki batain karon

Jis k ankhon main sitaray our honto pay gulab
Wo mujay mahbob hai us yar ki batain karon

Rozo shab bus aik meri yad main simta hoya
Is sarapa naz ki ghul nar ki batain karon

Wo agar rothain to dil k dharaknay bay rabat hon
Muskura day to bus main payar ki batain karo

Ab kabhi fursat milay to us ki bahon main liye
Main zamanay se qamar us yar ki batain karon

No comments:

Post a Comment