Sunday, January 31, 2010

Our kab tak baham rahain gay yahan

Our kab tak baham rahain gay yahan
To rahay ga yan hum rahain gay yahan

Rah ro door ja chukay hon gay
Rah k pecho kham rahain gay yahan

Hum yahan hon gay yan nahi
Us ke litfo karam rahain gay yahan

Dil main teri mahak utarny tak
Hum to khawab adam rahain gay yahan

Teri mati bikhar chuaki ho gi
Teray nakshay kadam rahain gay yahan

Abhi us ki ankh ka ishara nahi
Hum abhi koi dam rahain gay yahan

Tere mahman hoye kharab hoye
Phir jo aye to kum rahain gay yahan

No comments:

Post a Comment