Koi balandi pa k pasti main utar jata hon
Kis liye ahsas ki had se ghuzar jata hon
Doob jaye gi to apnay anso main soch lay
Chor kar ay zindgi tuj ko agar jata hon main
Zakham bay andaz hain phir b dhahar shaharay talab
Anay wali kal ki khatir phir sanwar jata hon main
Khanchta hon sans main sansan raton ki khalash
Our din k dard main har so bikhar jata hon main
Chikhtay lamho k anso apnay daman main liye
Muj pay ye ilzam hai k apnay ghar jata hon main
Is qadar khamosh kati hai sazaye zindgi
Ab to kaliyo k chatkhnay se phir dar jata hon main
Kon janay kon c manzil banay manzil meri
Ata hon kidar se our jato hon kida main
Bhed ly k raat ki tarikon k ay qamar
Chupkay chupkay din ki Basti se guzar jato hon main
Friday, January 29, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment