Dogam gar chalo gay kisi ajnabi k sath
Ilzam b milay tumhain dosti k sath
Pahray laga k ishq pay zahaty safar diya
Tha ye b ik mazak meri rahwari k sath
Waiz ko meri tarz e ibadat pay aytraz
Shartain wo bandta hai meri bandgi k sath
Kaya waqat a parha hai muhabat main dosto
Rasmain wafa nibhatay hain sharmingi k sath
Khoro haras phela tha is darja her taraf
Dekha hai zindgi ko sara semgi k sath
Chalta rah main tera taswar liye hoye
Maine safar kiya hai isi roshni k sath
Main sada loh hotay hoye b tha hosh mand
Kuch aqal b rahi hai meri sadgi k sath
Lota gaya hai jab qamar teray shahar main
Banti hai is ki khob ab awargi k sath
Friday, January 29, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment