Sunday, January 31, 2010

Ik masalsal terigi main roshni ka silsila

Ik masalsal terigi main roshni ka silsila
Teray jesa kab hai koi dosra tere siwa

Phonk day phir roh koi, koi taza walwla
Buj raha hai phir Khudaya aas ka jalta diya

Main k apni jan ka dushman howa hon ap he
Doniya wari k banwar main ja raha hon dobta

Thak gaya hon ab musalsal rat din chaltay hoye
Ab to koi sorat e manzil ho peda ay Khuda

No comments:

Post a Comment