Tuesday, January 26, 2010

Zameen ki chat per para asman hon tanha

Zameen ki chat per para asman hon tanha
Amarto main khra ik makan hon tanha

Adoray chand ki sorat dida akas bhi hon
Main khndar bhi bikhrta nishan hon tanha

Kabi main raat ki ujri dukan hon tanha
Main munqsam hon agrcha ghari ki soyon main

Magar zameen pay dhehra zaman hon tanha
Aik aik kar k muafar tamam door hoye

Magar main ab bhi khara sayeban hon tanha
Doron ab subhi kuch hoya hai jis ka ghreek

Nadi main terta wo badban hon tanha
Koi dharka hoya bom daba hai muj main our

Kisi bhi lamha bhikhrti chatan hon tanha
Na janay kon kahan kub urh k lay jaye

Sada ki lahar pay likha bayan hon tanha
Maqaam Ibrat duniya agar nahi main ali

To kiyn Phir us k he jesa guma hon tanha

No comments:

Post a Comment