Friday, January 29, 2010

Is se pahaly k anso muqadar banain

Is se pahaly k anso muqadar banain
Is se pahaly k koi sitam tor day

A isi mor pay muskuraye hoye
Main tujay chor don tu mujay chor day


Is se pahaly k wiran ho zindgi
Is se pahaly k ahain banay a balay

Kiyn na rakh lain muhabat ka hum tum pharam
Main bi zid chor don tu b qasam tor day

A isi mor pay muskuraye hoye
Main tujay chor don tu mujay chor day

No comments:

Post a Comment