Main sehar naghaha main khu gaya tha
Zara si dair pagal ho gaya tha
Kahani main nasihat bhi thi lakin
Wo bacha suntay suntay so gaya tha
Smandar janta hai us se pocho
Hawa main kon anso bo gaya tha
Smandar asman ki parivi main
Ufaq tak ja k ik khata ho gaya tha
Lub sahal main akasar sochta hon
Ali wo kis bhanwar main kho gaya tha
Tuesday, January 26, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment