Tuesday, January 26, 2010

Nahi hon main kisi ka b nahi hon

Nahi hon main kisi ka b nahi hon
Agar khud apnay jesa bhi nahi hon

Kahi aysay bhi din atay hain muj per
K khud ko milnay jata bhi nahi hon

Main logo se buhat darta hon lakin
Jo Rub hai Us se darta bhi nahi ho

Buhat he dukh howa ye jaan kar aaj
K main to apnay jesa bhi nahi hon

Nikalta hai na koi kaam apna
Kisi k kaam ata bhi nahi hon

Main apni hud main rahta hon hamaisha
Phir us had se niklta bhi nahi hon

Buhat masoom lgta hon bazahar
Magar us ka main saya bhi nahi hon

Bicha deta main khud ko un ki khatir
Magar hai dukh k rasta bhi nahi hon

Jahan peshani pay kuch harf aye
Main aysay dar pay jalakta bhi nahi hon

Kisi Hati pay chal jaye jo ik din
Main aysa khuta sika bhi nahi hon

Ali main kaya hon k har roz khud se
Jo kehta hon wo karta bhi nahi hon

No comments:

Post a Comment