Sunday, January 31, 2010

Our rahna tha kaya fasla rah gaya

Our rahna tha kaya fasla rah gaya
Door tak main usay dekhta rah gaya

Kam yun to mukamal kiye hain sabhi
Zindgi main Khuda janay kaha rah gaya

So chuka tha tah khak main jis ghari
Meray andar koi jagta rah gaya

La taluq rahay is taluq main hum
Our jam taluq thara rah gaya

Sub charagho ko bujna tha bujtay gaye
Ankh main aik jalta diya rah gaya

No comments:

Post a Comment