Muj ko shikast dil ka maza yad a gaya
Tum kiyn udas ho gaye kaya yad a gaya
Kahnay ko zindgi thi buhat mukhtsar magar
Kuch yon basar hoi k Khuda yad a gaya
Waiz salam ly k chala maykaday main
Firsos gumshuda ka pata yad a gaya
Barsay baghair he jo ghata ghir k khul gai
Ik Bay wafa ka ahad e wafa ayad a gaya
You chonk uthay wo sun k mera shiqwa faraq
Jaysay unahain b koi gila yad a gaya
Mangay gay ab doa k usay bol jain hum
Lakin jo wo bawaqat doa yad a gaya
Hairat tum ko dakh k masjid main a khumar
Kaya baat ho gai jo khuda yad a gaya
Monday, January 25, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment