Monday, January 25, 2010

Wo hain pas our yad anay lagay hain

Wo hain pas our yad anay lagay hain
Muhabat k hosh ab dikhanay lagay hain

Suna hai hamian wo bhula ne lagay hain
To kaya hum unhain yad anay lagay hain

Hataye thay jo rah se dosto k
Wo pathar mere ghar main anay lagay hain

Wo pathar mujay yad anay lagay hain
Jinhain bolanay main zamanay lagay hain

Ye kehana tha un se muhabat hai muj ko
Ye kehanay main muj ko zamanay lagay hain

Qayamat yaqinan qareeb aa gai hai
Khumar ab to masjid main janay lagay hain

No comments:

Post a Comment