Agar kuch rabta bahar se banta ja raha hai
Khala andar ka bhi to our barhta ja raha hai
NA janay kis jaga ja kar rukay ga silsila ye
Buhat se Angano main sahan banta ja raha hai
Hamary pass ghar bhi hai our us k sub mken bhi
Magar jiwan k rahon per he kat ta ja raha hai
Is mati main akhir aik din ye dafan ho ga
Is mati se is tan ko bachaya ja raha hai
Na janay kis jaga per muj ko shehzadi milay gi
Abi tak to balao se he pala ja raha hai
Ali is jism k mazbos ghar ko kaya karo main
Agar ye jism bunyado se girta ja raha hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment