Thursday, February 4, 2010

Hum aftab se dhaltay hain kuch khabar hai tumhain

Hum aftab se dhaltay hain kuch khabar hai tumhain
Khud apni aag main jaltain hain kuch khabar hai tumhain

Jo sang tot na paye jahan ki koshish se
Hamaray ghum se pighaltay hain kuch khabar hai tumhain

Tumhari rah main ankhain bicha rahay thay kabhi
Jo aj rah badltay hain kuch khabar hai tumhain

Balandio pay na dhondho k joharay nayab
Zameen ki god main paltay hain kuch khabar hai tumhain

Zamana jesay bahlta hai meri jan hum bhi
Usi trah se bahltay hain kuch khabar hai tumhain

Hum ab e sim ki manind sari raat Adeel
Bina tumharay machltay hain kuch khabar hai tumhain

No comments:

Post a Comment