Lagta hai k ab chahtain asaan hain zayada
Ashaq hain kam chaak garayban hain zayada
Ik adh sahbe dil farosh bhi hai farokash
Ab kocha e dildar main darban hain zayada
Mudat se koi janab e maqtal nahi ayad
Qatil bhi tawaqo se pashay man hain zayada
Jis taaj ko dekho wahi kashkol numa hai
Ab k to faqeero se bhi sultan he zayada
Her aik ko dawa hai yahan chara giri ka
Ab dil k ujhar jany k amkan hain zayada
Kaya kaya na ghazal is k judai main kahi
Hum per shab e hijra tere ahsan hain zayada
Logo ne to jo zakham diye they so diye they
Kuch tere karm hum pay meri jan hain zayada
Mashata e duniya se kahay kon Faraz ab
Hum yaar ki zulfon se pareshan hain zayada
Saturday, February 13, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment