Muj se pahaly tujay jis shakhas ne chaha us ne
Shaye ab bhi tera gham dil se laga rakha hai
Aik bay naam c umeed pay ab bhi shayed
Apnay khawabo ke jaziro ko saja rakha hai
Main ne mana k wo baygana payman e wafa
Khi chuka hai jo kisi our ki ranai main
Shayed k ab lout k aya na teri mahfil main
Our koi dukh na rolaye tujay tanhai main
Main ne mana k shab o rooz k hangamo main
Waqat her gham ko bhula deta hai rafta rafta
Chahain umeed k shamain hun k yaado k charagh
Mustqil boad bulla deta hai rafta rafta
Phir bhi mazi ka khayal ata hai gahay gahay
Mudtain dard k loo kam tu nahi ker sakti
Zakham bhar jaye magar dagh to rah jata hai
Doriyo se kabhi yaadain to nahi mar sakti
Ye bhi mumkin hai ik din wo pashyma ho ker
Tere pass aye zamanay se kinara ker lay
To k masoom bhi hai zood e faramosh bhi hai
Is ki payma shikni ko bhi gawara ker lay
Our main jis ne tujay apna maseha samja
Aik zakham our bhi pahlay ki tarah seh jao ga
Jis se pahlay bhi kai ahad e wafa totay hain
Usi do rahay pay chup chaap khara rah jao ga
Saturday, February 13, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment