Thursday, February 11, 2010

Tay karo ga main andera ye akela kese

Tay karo ga main andera ye akela kese
Mere hamrah chalay ga mera saya kese

Meri ankhon ki chaka chund bata sakti hai
Jis ko dekha he na jaye usay dekha kese

Chandni us se lipat jaye hawaine chayrain
Koi rah sakta hai duniya main achota kese

Main us waqat se darta hun k wo poch na lay
Ye agar zabat ka ansu hai tu tapka kese

Yaad ke kaser hain umeed ki qandalain hain
Main ne abad kiye dard k sehra kese

Is liye sirf Khuda se hai Takhatub nera mera
Mere jazbaat ko samjhay ga farishta kese

Zahan main nit naye butt dhaal k ye dekhta hun
Butt kaday wo bana leta hai kaba kese

Us ki qudrat ne mera rasta ruka hoga
Poch muj se k qayat barpa hoi kese

Gar smander se he dariyaon ka rizq ata hai
Is k senay main utar jatay hain dariya kese

Tot ti raat ne soraj se ye sargoshi ki
Main na hoti to tera noor barasta kese

No comments:

Post a Comment