Tuesday, February 16, 2010

Tere hotay hoye mahfil main jalaty hain charagh

Tere hotay hoye mahfil main jalaty hain charagh
Log kaya sada hain soraj ko dikhatay hain charagh

Apni mahroomi k ahasas se sharminda hain
Khud nahi rakhaty to ouro k bujatay hain charagh

Bastiyan door hoi jati hain rafta rafta
Dambadam ankhon se chuptay chalay jatay hain charagh

Kaya khabar un ko k daman main bharak uthtay hain
Jo zamany ki hawao se bajatay hain charagh

Go saya bakhat hain hum log pay roshan hai zameer
Khud andheroo main hain duniya ko dikhatay hain chargh

Bastiyan chand sitaro ki basanay walay
Kara e arz pay bujay jatay hain charagh

Aysay bay dard hoye hum bhi k ab ghulshan per
Barq girti hai to zindan pay jalatay hain charagh

Aysi tarikian ankhon main basi hain k Faraz
Raat to raat hai hum din ko jalatay hain chargh

No comments:

Post a Comment