Thursday, February 11, 2010

Ye udaas ankhain meri

Ye udaas ankhain meri
Kurb e tanhai main jalti hoi Is zaat k darwazay per
Rastahm dheti rahti hain kisi badal ka
Aysa badal
Jo mere jism k sehra ko bhi sahil ker day
Hath hathon pay rakhay
Roh ko jhal thal ker day
Ye udaas ankhain meri
Zulm ki dhund main lipti hoi is raat k darwazay per
Rasta dekhti rahti hain kisi soraj ka
Aysa soraj
Jo muhabat k her aik naksh ko roshan ker day
Khoof ki lahar se jhamtay hoye logo main hararat bhar day
Bhagtay dhortay is waqat k hangamain main
Wo jo ik lamha amer hai
Wo thahrta he nahi
Bay yaqeeni ka ya mahool bikhrta he nahi
Mera soraj
Meray angan main utarta he nahi

No comments:

Post a Comment