Sunday, February 14, 2010

Na shabo roz he badlatay hain na haal acha hai

Na shabo roz he badlatay hain na haal acha hai
Kis barhman ne kaha tha k ye saal acha hai

Hum k dono k gariftaar rahay jantay hain
Dame duniya se kahin zulf ka jaal acha hai

Maine pocha tha k akhir ye taghaful kab tak?
Muskuratay hoye bolay k sawal acha hai

Dil na many bhi to aysa hai k gahay gahay
Yaar e bay faiz se halka sa malal acha hai

Laztain qurb o juda ki hain apni apni
Mustaqil hijar he acha hai na widal acha hai

Rahwan e rah ulfat ka muqadar maloom
In ka aghaz he acha na maal acha hai

Dosti apni jaga per ya haqeeqat hai Faraz
Teri ghazlo se kahin tera ghazaal acha hai

No comments:

Post a Comment