Sunday, February 14, 2010

Na tera qurb hai na bada hai kaya kiya jaye

Na tera qurb hai na bada hai kaya kiya jaye
Phir aj dukh bhi zayada hai kaya kiya jaye

Hamain arze tamana ka dhab nahi ata
Mizaj e yaar bhi sada hai kaya kiya jaye

Kuch apnay dost bhi turkash badosh phirtay hain
Kuch apna dil bhi kushada hai kaya kiya jaye

Wo mahrban hai magar dil ko hirs bhi kam ho
Talab karam se zayada hai kaya kiya jaye

Na us se tarq e taluq ki baat ker paye
Na hamdami ka irada hai kaya kiya jaye

Salooq yaar se dil dobnay laga hai Faraz
Magar ye mahfil e ada hai kaya kiya jaye

No comments:

Post a Comment