Monday, February 15, 2010

Shayar apna he jis ka bahana sazi tha

Shayar apna he jis ka bahana sazi tha
Wo mere jhot pay khush tha na such pay razi tha

Tamam umer usi k rahay ye kaya kam hai
Bala se ishq haqiqi na tha majazi tha

Ye do dilo ki qurbat bari gawahi hai
So kaya hoya koi shahad na koi qazi tha

Na tanz ker k kai baar keh choka tuj se
Wo meri pahli mohabat to mera mazi tha

Na dost yar na nasih na nama bar na raqeeb
Bila kashan e mohabat se kon razi tha

Ye ghul shuda c jo shamain dikhai deti hain
Hunar in ankhon k agay sitara sazi tha

Ado k samne hathayar dalnay wala
Koi Faraz sa kafir nahi tha ghazi tha

No comments:

Post a Comment