Monday, February 15, 2010

Suna hai log usay ankh bhar k dekhtay hain

Suna hai log usay ankh bhar k dekhtay hain
So us k shahar main kuch din thahr k dekhtay hain

Suna hai rabt hai is ko kharab halo se
So apnay ap ko barbad ker k dekhtay hain

Suna hai dard ki gahak hai chashm e naz us ki
So hum bhi us ki gali se ghuzr ke dekhtay hain

Suna hai us ko bhi shyro shayeri ka shaghaf
So hum bhi mujzay apnay hunar k dekhtay hain

Suna hai bolay to bato se phol jhartay hain
Ye baat hai to chalo baat ker k dekhtay hain

Suna hai raat usay chand takta rahta hai
Sitaray baam e falak se utar ker dekhtay hain

Suna hai din ko isay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno guzar ker dekhtay hain

Suna hai hashar main is ki ghazal c ankhain
Suna hai is ko hirno dashat bhar k dekhtay hain

Suna hain raat se barh ke hain kaklain is ki
Suna hai shaam ko saye guzar k dekhtay hain

Saya e chasham to dekhay hain per na aysay bhi
K is ko surma faroosh aah bhar k dekhtay hain

Suna hai is k labo se ghulab jaltay hain
So hum bahar pay ilzam thar k dekhtay hain

Suna hai ayena tamsaal hai jabeen us ki
Jo sada dil hai usay ban sanwar k dekhtay hain

Suna hai jab se hamayl hain us ki gardan main
Mizaj our he laal o gahar k dekhtay hain

So saro qad hai magar bay gul e murad nahi
K is shajar pay shagupay samar k dekhtay hain

Nazar uthay to ye samjo k deen o dil to gaye
So rahwan e tamana bhi dar k dekhtay hain

Suna hai us ki shabasta se mutsal hai bahshat
Makeen udar k bhi jalway idar k dekhtay hain

Rukay to dardishain is k tawaf kerti hain
Chalay to is ko zamanay thahar k dekhtay hain

Kisay naseeb k bay payrhan usay dekhay
Kabhi kabhi dar o diwar ghar k dekhtay hain

Kahaniya he sahi sab mubalghay he sahi
Agar wo khawab hai tabeer ker k dekhtay hain

Ab is shahar main thahrain k kooch ker jayen
Faraz aao sitaray safar k dekhtay hain

No comments:

Post a Comment